Main Kar Raha Tha Zikar-e-Alamdar Baar Baar.
میں کر رہا تھا ذکرِ علمدارؑ باربار
Meesum(AS) Ne Khud Pinhaye Mujhe Haar Baar Baar.
Ghar Mein Ali(AS) Jo Karte The Parcham Ki Guftgu.
Shano Ko Dekhtha Tha Alamdar Baar Baar.
Kitni Bulandiyon Pe Hain Abbas(As) Ke Alam
Kehte Hain Masjidon Ke Yeh Minar Baar Baar.
Labaik Jis Ne Aalam-e-Arwaah Mein Kaha.
Aata Hai Karbala Mein Woh Zawar Baar Baar.
Mehdi(AS) Yeh Aa Ke Ganjay Shaheedan Mein Kehte Hain.
Milte Kahan Hain Aise Wafadar Baar Baar.
Makhsoos Yeh Sharf Hai Yadallah Ke Liye.
Aati Nahi Hai Arsh Se Talwar Baar Baar.
Main Ne Ali(AS) Ke Ishq Ka Soda Nahi Kiya.
Aaye The Mere Pas Kharedar Baar Baar.
Sham-o-Iraq Mein Hoon Dhamake Howa Karein.
Jaein Gaye Phir Bhi Sheh Ke Azadar Baar Baar.
Yeh Fakhar Kam Nahi Hai :TAKALLUM: Ke Waste.
Meesum(AS) Bhi Sunte Hain Tere Ashar Baar Baar.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2017-18:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com