Aman Ke Meer-e-Karwaan Hain Hasan Lyrics In Urdu 2005
Aman Ke Meer-e-Karwaan Hain Hasan Wajhi Hasan Zaidi.
Malik-e-Kausar-o-Jina Hain Hasan.
In Ke Lab Se Hai Lab Kusha Quraan.
Yani Quran Ki Zubaan Hain Hasan.
Qad-o-Qamat Mein Ho Baho Nana.
Isteqamat Mein Misal-e-Maa Hain Hasan.
Jis Mein Quran-e-Aman Rehta Hai.
Dono Aalam Mein Woh Makaan Hain Hasan.
Woh Imam-e-Hussain Ke Bhi Imam.
Asamaan Soch To Kahan Hain Hasan.
Gulshan-e-Fatima Ki Pehli Bahar.
Gul Hai Qasim Woh Gulistaan Hain Hasan.
Khali Naimat Se Kyun Ho Dastar Khuwan.
Ibn-e-Haider Hain Maizbaan Hain Hasan.
Ran Mein Qasim Ko Dekh Kar Youn Laga.
Subah-e-Aashoor Nojawaan Hain Hasan.
Parh Ke Farman-e-Mustafa Yeh Khula.
Sibt-e-Akbar Nabi Ki Jaan Hain Hasan.
Baap KaHai Laqab Wajhullah.
Aks-e-Khalaq-e-Do Jahan Hain Hasan.
Fikar-e-REHAN Naaz Kar Khud Par.
Tere Lafzooz Ke Qadar Daan Hain Hasan.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2004-05:
#AmanKeMeereKarwaan
#ManqabatLyrics
#tajpoint