Zuljanah Naam Hai Shabir Ka Rahwar Hoon Main 1-6 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مَیں ہوں راہوارِ حُسینؑ 1-6
Noor-e-Awal Ki Qasam Sahmil-e-Anwaar Hoon Main.
Khud Wafadar Yeh Kehte Hain Wafadar Hoon Main.
Mere Hum Jins Jo Hain Unka Alamdar Hoon Main.
Jab Se ALLAH Ne Iss Dar Ki Ghulami Di Hai.
Mujh Ko Aa Aa Ke Farishton Ne Salami Di Hai.
Woh Jo Hai Shafa-e-Batha Woh Hai Aaqa Mera.
Jis Ki Thokar Mein Hai Dunya Woh Hai Aaqa Mera.
Jis Ke Sajday Mein Hai Kaba Woh Hai Aaqa Mera.
Jo Hai Abbas Ka Aaqa Woh Hai Aaqa Mera.
Noor Ko Jiss Ne Uthaya Woh Amari Main Hoon.
Doosh-e-Ahmad Ke Sawaron Ki Sawari Main Hoon.
Dar-e-Imran Ne Bakhsha Hai Yeh Faizan Mujhe.
Rooz-e-Awal Se Hai Tuheed Pe Eman Mujhe.
Had-e-Mumkin Mein Nahi La Saka Imkan Mujhe.
Janwar Hai Woh Samajta Hai Jo Haiwan Mujhe.
Aayton Mein Ba-Khuda Zikar Mera Aaya Hai.
Meri Tapoon Ki Tu ALLAH Qasam Khata Hai.
Nisbat-e-Khas Yeh Rakhi Hai Taharat Mujh Se.
Door ALLAH Ne Rakhi Hai Nijasat Mujh se.
Batein Karti Rahi ALLAH Ki Aayat Mujh Se.
Kitna Khush Bakht Hoon Main Khush Hai Imamat Mujh Se.
Rab-e-Kaba Ki Qasam Youn Bhi Ibadat Ki Hai.
Main Ne ALLAH Ke Chehre Ki Ziyarat Ki Hai.
Hai Azadar Zamane Mein Dua-e-Zahra.
Hai Azadar Ke Humrah Wila-e-Zahra.
Hai Azadar Pe Har Gaam Ata-e-Zahra.
Saya Karti Hai Sada Oss Pe Rida-e-Zahra.
Har Azadari-e-Shabir Ka Maimar Hoon Main.
Barsar-e-Lasha-e-Sheh Pehle Azadar Hoon Main.
Amar-e-Khaliq Se Main Anwar Ke Paikar Mein Dhala.
Shab-e-Asra Meri Raftar Se Buraq Chala.
Kab Samaj Paya Zamana Mere Rutbe Ko Bhala.
Jahan Hasnain Pale Main Bhi Ossi Ghar Mein Pala.
Dana Shehzadi Ne Palu Mein Khilaya Hai Mujhe.
Pani Saqa-e-Sakina Ne Pilaya Hai Mujhe.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2008-09:
#Zuljanah
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com