Zuljanah Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2022
Zuljanah Shahid Baltistani
Mere Baba Ke Zuljanah.
Kehti Thi Yeh Sakina Zakhmi Hai Kyun Tu Itna.
Maqtal Mein Kya Howa Bata Zuljinah.
Itna Bata De Kyun Ghabraya Hai Tu.
Kyun Mere Baba Ko Chor Aaya Hai Tu.
Tere Qadmo Ki Jab Aawaz Aayi.
Main Yeh Samjhi Baba Ko Laya Hai Tu.
Na Ghazi Hai Na Bhaiyya Haye Baba Ka Lasha.
Maqtal Se Kaun Laye Ga.
Tere Qadmo Mein Yeh Gir Kar Kaha Tha.
Na Le Ja Baba Ko Mere Na Le Ja.
Tanha Baba Ko Jo Jane Diya Tha.
Teri Wafa Pe Tha Mujh Ko Bharosa.
Tujh Ko Ghazi Ki Qasam Rakh Le Wafa Ka Bharam.
Tanha Kyun Loota Hai Bata.
Rukhsat Baba Ki Na Bholi Sakina.
Aakhri Bar Jo Soyi Sakina.
Aa Kar Yeh Khuwab Mein Dadi Pukari.
Bhejo Hussain Ko Bali Sakina.
Tab Se Bichari Hoon Dekho Jane Na Deti Unn Ko.
Gar Mujh Se Kehtin Na Zahra.
Gham Kitne Totay Ghareeb Al-Watan Par.
Naizay Chaley Hain Kya Unn Ke Badan Par.
Sar Tu Utha Teri Aankhon Mein Dekhon.
Kya Kya Sitam Hoye Shah-e-Zaman Par.
Aanso Rawaan Hain Tere Baba Kahan Hain Mere.
Kyun Hai Khamosh Yeh Bata.
Yeh Zahra Jane Ya ALLAH Jane.
Mere Baba They Jane Kab Se Pyasay.
Aankhein Tumhari Mujh Se Keh Rahi Hain.
Maqtal Se Tum Bhi Ho Pyasay Hi Laute.
Mujh Ko Yaqeen Hain Mere Baba Ne Tum Se Pehle.
Pani Kahan Piya Hoga.
Mujh Ko Tapoon Ki Jo Aati Hai Sada.
Wehshat Se Phatta Hai Kaleja Mera.
Charon Taraf Hai Zalimo Ka Pehra.
Tanha Hain Ran Mein Mere Pyasay Baba.
Lasha Pamal Na Ho Ja Kar Bacha Le Unn Ko.
Main Bhi Mar Jaon Gi Warna.
Loote Na Khaimon Ko Aa Kar Sitamgar.
Haye Chin Jaye Na Phophiyon Ki Chadar.
Kis Ko Pukaron Gi Itna Bata De.
Zalim Jab Khainchey Ga Kano Se Gohar.
Kaun Hai Ab Hamara Koi Nahi Sahara.
Lut Jaye Ga Mera Kunba.
Kehti Hai Karbala :DARWAISH:-o-:ZEESHAN:.
Rota Raha Sar Jhukaye Zuljinah.
Kaisay Sakina Ke Baba Ko Laye.
Chanay Lagi Hai Ab Sham-e-Ghareebaan.
Rakh Keh Qadmo Mein Sar Ko Gir Gaya Khak Par Woh.
Sun Kar Sakina Ka Noha.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volum: :Shahid Baltistani 2022-23:
Composition: :Shahid Baltistani:
#Zuljanah
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Zuljanah Shahid Baltistani
Shabih e Zuljanah Shahid Baltistani