Zuljanah Aqbal Minal Maidaan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1994
Zuljanah Aqbal Minal Maidaan Nadeem Sarwar.
Zuljinah Aa Qabal Minal Maidan Khali Wawela.
Aye Wa Ghareeb Aaye Wa Hussaina.
Aye Wa Shaheed Aaye Wa Hussaina.
Aye Wa Mazloom Aaye Wa Hussaina.
Shoor Howa Lo Khali Aaya.
Chor Ke Zainab Ka Maa Jaya.
Bagein Kati Hain Khoon Mein Nahaya.
Zainab Ne Dukhra Yeh Sunaya.
Khon Mein Tar Rehwar Ko Dekha.
Roi Tarap Kar Bali Sakina.
Boli Kahan Hain Mere Baba.
Cheen Liya Kyun Mera Sahara.
Main Tere Sadqay Mein Tere Wari.
Tu Mere Baba Ki Hai Sawari.
Tere Badan Se Khon Hai Jari.
Zakhm Lagay Hain Jism Pe Kari.
Baat Na Mani Tu Ne Meri.
Roi Bohat Qadmo Se Lipati.
Boli Kahan Hain Mere Baba.
Cheen Liya Kyun Mera Sahara.
Chor Diya Kyun Ran Mein Akela.
Choor Ghamo Se Tha Mera Baba.
Jis Ne Uthaya Lashay Pe Lasha.
Tanha Kyun Maqtal Se Aaya.
Zainab Ke Lab Par Yeh Fogaan Thi.
Seh Na Sakoon Gi Sheh Ki Judai.
Tu Ne Kyun Gardan Hai Jhukai.
Reh Gaya Kyun Maqtal Mein Bhai.
Bano Pukari Phaink Ke Chadar.
Lut Gayi Main Barbad Howa Ghar.
Ran Se Na Aaye Sibt-e-Payamber.
Chalte Hain Mere Qalb Pe Khanjar.
Qatal Hoye Shabeer Jo Ran Mein.
Gonji Sada :REHAN: Yeh Ban Mein.
Aag Lagi Zahra Ke Chaman Mein.
Pohanchi Khabar Sughra Ko Watan Mein.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1993-94:
#ZuljanahAqbalMinalMaidaan
#NohayLyrics
#tajpoint