Ali Ke Aashiq e Anmool Ki Kahani Hai Lyrics 2009

Ali Ke Aashiq e Anmool Ki Kahani Hai Lyrics 2009

Ali Ke Aashiq e Anmool Ki Kahani Hai

Janoon Ki Faqar Ki Kashkool Ki Kahani Hai.
Jahan-e-Aqal-o-Khird Aa Salam Kar Mujh Ko.
Meri Zuban Pe Behlool Ki Kahani Hai.
Sirat-e-Hub-e-Ali Par Jo Chal Para Behlool.
Janon Urh Ke Majnon Ban Giya Behlool.

Zameen Pe Rehte Howya Khul Ki Zameen Bechi.
Wiqar-e-Ishq Tha Khak-e-Shifa Nahi Bechi.
Bacha Li Apne Liye Tu Ne Karbala Behlool.

Jahan-e-Faqar Mein Raij Hai Woh Nisab Tera.
Ali Ke Naam Ki Detay Hain Sab Faqeer sada.
Khula Howa Hai Tera Ab Bhi Madrasa Behlool.

Nuseriyon Ka Tu Rab Jane Haal Kya Hota.
Har Aik Sacha Musalmaan Nuseri Ho Jata.
Ali Ki Zaat Pe Khul Kar Jo Bolta Behlool.

Haroof-e-Baag-e-Jina Ke Shajar Se Lagne Lage.
Woh Lafz Jurne Lage Our Makan Banne Lage.
Jahan Kissi Ne Bhi Qirtas Par Likha Behlool.

:WAJHI: Hath Uthao Ke Sath Doo Iss Ka.
Dua Yeh Karta Hai :AKBAR: Ke Aye Mere Mula.
Bana De Hum Ko Bhi Kuch Kuch Zara Zara Behlool.

Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:

#AliKeAashiqeAnmool
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Ali Ke Aashiq e Anmool Ki Kahani Hai Lyrics In Urdu 2009 Write Up Poster Image

Ali Ke Aashiq e Anmool Ki Kahani Hai Lyrics In Urdu 2009

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!