Abbas Hoon Haider Ki Ibadat Ki Jaza Hoon Lyrics 2015
Abbas Hoon Haider Ki Ibadat Ki Jaza Hoon
Maa Naaz Se Kehti Hai Keh Zahra ki Dua Hoon.
Khaliq Ne Jahan Dar Pe Utara Hai Sitara.
Main Ne Ossi Chokhat Pe Hia Sab Waqt Guzara.
Dehleez Pe Zahra Ki Qamar Ban Ke Jala Hoon.
Dunya Yeh Jise Kehti Hai Ghazi Ki Adaein.
Maa Ne Yeh Mujhe Ghuti Mein Bakhshi Hain Wafaein.
Bachpan Se Yehi Dars-e-Wafa Rooz Parha Hoon.
Jo Kaam Liya Karta Hai Rab Looh-o-Qalam Se.
Woh Kam Liya Karta Hoon Main Mashk-o-Alam Se.
Inn Hathoon Se Main Rizq-e-Jahan Bant Raha Hoon.
Do Khas Hijabaat Bane Bint-e-Wali Ke.
Ik Fatima Zahra Ne Diya Aik Ali Ne.
Ik Chardar-e-Tatheer Tu Ik Main Woh Rida Hoon.
Aagoosh Mein Maa Ki Meri Chalti Rahi Sansein.
Shabir Pe Aa Jane Talak Kholi Na Aankhein.
Bachpan Se Main Shabir ka Zawar Raha Hoon.
Mere Liye Malboos Nahi Aye Jina Se.
Hathoon Se Magar Khud Siye Khataon-e-Jina Ne.
Tatheer Ke Malboos Pehan Kar Main Pala Hoon.
Biphre Howay Ik Shair Ki Shamsheer Zani Ki.
Ik Mashk Thi Sifeen Meri Tishna Labi Ki.
Main Piyas Se Larta Howa Abbas Bana Hoon.
Kabay Ki Faseelon Se Sar-e-Dasht-e-Shahdat.
Lipta Howa Qadmoon Se Raha Saye Ki Sorat.
Shabir Ke Har Naqshe Kaf-e-Paa Mein Basa Hoon.
Alhamd Ki Sorat Hoon Main Aaghaz Pe Akbar.
Walnas Ki Sorat Hoon Main Aakhir Pe Muqarar.
Youn Sorah-e-Kausar Ki Hifazat pe Khara Hoon.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:
#AbbasHoonHaiderKi
#ManqabatLyrics
#tajpoint