Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein Lyrics In Urdu and Roman Urdu
زہراؑ ضعیف ہو گئی اٹھارہ سال مِیں
Bint-e-Rasool Kehti Thin Aanso Baha Baha Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Umat Ne Kaisa Zulm Kiya Wa Musibata Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Aye Baba Kya Bataon Jo Dhaye Gaye Sitam.
Ghurbat Pe Meri Roye Na Kyun Kainat-e-Gham.
Haq Mera Kalma Goyon Ne Cheena Basad Jafa.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Bholon Main Kaise Tooti Thin Jab Pasliyaan Meri.
Dar Mujh Pe Tha Main Khak Pe Zakhmoon Se Choor Thi.
Our Dar Pe Paon Rakh Ke Musalmaan Guzar Giya.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Ab Baith Kar Main Parhti Hoon Baba Salaat Bhi.
Pehlu Ka Dard Uthne Nahi Deta Hath Bhi.
Dill Doba Ja Raha Hai Gham-o-Ranj Se Mera.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Duray Lagaye Had Se Musalmaan Guzar Giya.
Zakhmi Main Ho Gayi Mera Muhsin Bhi Mar Giya.
Ummat Ne Aise Ajr-e-Risalat Adda Kiya.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Uthti Hai Hook Seene Se Aata Hai Munh Ko Dam.
Ab Be-Assa Main Chal Nahi Pati Hoon Ik Qadam.
Zoaf-e-Badan Yeh Kehta Hai Nazdeek Hai Qaza.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Lamha Ba Lamha Yeh Bhi Jasarat Karein Gaye Yeh.
Ik Rooz Munhidam Meri Turbat Karein Gaye Yeh.
Baba Na Ab Ruke Ga Sitam Ka Yeh Silsila.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Dill Par Uthate Aaye Hain Sadmaat Aye :WAJHI:
Kyun Kar Lahu Na Roein Yeh Sadaat Aye :WAJHI:
Jab Aye :HILAL: Khud Hi Yeh Misra Hai Marsiya.
Zahra Zaeef Ho Gayi Atharah Saal Mein.
Poet: :Hilal Naqvi India:
Nohakhuwan: :Wajhi Hasan Zaidi:
NohaKhuwan: :Askari Hasan Zaidi:
NohaKhuwan: :Mujtaba Hasan Zaidi:
Ayyam-e-Fatima Noha 2017-18
#BinteRasoolKehti
#NohayLyrics
#tajpoint