Saal Bhar Ke Ghamzada Aanso Bahane Aaye Hain Lyrics 2020
Saal Bhar Ke Ghamzada Aanso Bahane Aaye Hain.
Qabar Par Abbas Ki Ro Kar Yeh Jabir Ne Kaha.
Sham Se Aaya Hai Ik Pardesiyon Ka Qafila.
Chahtey They Mehmilon Ka Karbala Mein Dakhla.
Rasta Main Ne Jo Roka Sarbaan Kehne Laga.
Saal Bhar Ke Ghamzada Aanso Bahane Aaye Hain.
Hum Musafir Gham Musafir Ka Mananay Aaye Hain.
Sun Rakha Hai Aik Shash Mah-e-Ki Turbat Hai Yahan.
Hai Hamarey Sath Bhi Ik Shash Mah-e-Bachay Ki Maa.
Hum Ali Asghar Ko Ik Lori Sunanay Aaye Hain.
Qaid Khane Mein Hamari Aik Bachi Mar Gayi.
Jate Jate Naam Baba Ke Wasiyat Kar Gayi.
Oss Ki Chadar Turbat-e-Sheh Par Charhaney Aaye Hain.
Tum Ossay Baraat Samjho Qasim-e-Noshah Ki.
Hai Siyah Joray Mein Ik Dulhan Hamarey Sath Bhi.
Hasraton Ke Naam Ki Mehndi Rachaney Aaye Hain.
Hukam Hai Abbas Ka Paidal Hi Aaye Har Koi.
Hai Hamarey Sath Ik BiBi Jo Chal Sakti Na Thi.
Oss Ko Chalna Aa Gaya Hai Yeh Bataney Aaye Hain.
Suntay Hain Karta Nahi Koi Diya Roshan Yahan.
Turbat-e-Shabeer Par Rehti Hain Bas Tareekiyaan.
Qaid Khane Ke Diye Oss Par Jalanay Aaye Hain.
Dasht Mein Kunba Hamara Bhi Younhi Mara Gaya.
Unn Musalmano Ne Jee Bhar Kar Humein Pursa Diya.
Hum Ko Milne Har Jagah Par Taziyaney Aaye Hain.
Haye Ghurbat Ki Sada Har Qabar Se Uthnay Lagi.
Jab Sada Jabir Ne :AKBAR: Ro Ke Yeh Sehra Mein Di.
Woh Badan Se Sar Shaheedon Ke Milaney Aaye Hain.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Danish Ali:
Noha Volume: :Danish Ali 2020-21:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#NohayLyrics
#tajpoint