Main Azadar Hoon 1-4 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مَیں عزادار ہوں 1-4
Fatima Ki Duaon Ka Shehkar Hoon Main Azadar Hoon.
Matami Hoon Sheh-e-Deen Ka Ghumkhuwar Hoon Main Azadar Dar Hoon.
Tujh Ko Apna Taruf Karaon Main Kya.
Sakinan-e-Jina Mein Hai Charcha Mera.
Meri Takhleeq Ka Hai Sabab Karbala.
Mera Maqsad Hai Bas Zikar-e-Aal-e-Aba.
Rab-e-Akbar Ka Mujh Par Yeh Ahsan Hai.
Shah-e-Wala Ka Ghum Meri Pehchan Hai.
Aankh Kholi Tu Madar Ka Chehra Dikha.
Aayi Kano Mein Khair-ul-Amal Ki Sada.
Har Koi Farhatan Mujh Ko Takne Laga.
Our Kya Barha Sab Ne Shukar-e-Khuda.
Iss Tarha Meri Jalwa Sarai Hoi.
Maa Ki Aagosh Mein Ronumai Hoi.
Mujh Ko Bachpan Mein Sab Kuch Sikhaya Giya.
Main Azadar Hoon Yeh Bataya Giya.
Waqiya Karbala Ka Sunaya Giya.
Mera Kirdar Aisa Banaya Giya.
De Raha Hai Gawai Mera Pak Pan.
Matami Hoon Mera Karbala Hai Watan.
Ulfat-e-Shah-e-Wala Mein Sarshar Hoon.
Main Khuda-e-Wafa Ka Parastar Hoon.
Bint-e-Khair-ul-Nisa Ka Namak Khawar Hoon.
Khandan-e-Nabi Ka Wafadar Hoon.
Khush Nasab Hoon Ke Yeh Naik Nami Mili.
Mujh Ko Wisay Mein Inn Ki Ghulami Mili.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:
#MainAzadarHoon
#ManqabatLyrics
#tajpoint