Sarwar Ke Azadar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Sarwar Ke Azadar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

سرورؑ کے عزادار

Mazloom Ki Talwar Sarwar Ke Azadar.
Hai Dein Ke Madadgar Sarwar Ke Azadar.
ALLAH Ne Jab Khalq Ke Maiyar Banaye.
Jo Zarf Kushada They Woh Sardar Banaye.
Sardaron Mein Kuch Sahib-e-Anwar Banaye.
Anwar Tarashey Tu Azadar Banaye.
Ab Jo Mere Maula Ka Azadar Nahi Hai.
Khud Se Zara Sochey Keh Woh Bekar Nahi Hai.
Takhleeq Ki Tarteeb Mein Hain Chaar Anasir.
Sab Hain Mere Maula Ke Azadar Anasir.
Iss Wastay Hain Sahib-e-Asrar Anasir.
Khud Kartay Hain Iss Baat Ka Iqrar Anasir.
Na Aag Na Pani Se Na Mati Na Howa Se.
Hum Khalq Hoye Fatima Zahra Ki Dua Se.
Sach Hai Keh Nazar Ho Tu Hatay Aib Nazar Ka.
Mosam Tu Kabhi Dekhiye Tauheed Nagar Ka.
Magmoom Fiza Surkh Shafaq Huzn Sahar Ka.
Kala Hai Ghilaf Iss Liye ALLAH Ke Ghar Ka.
Tauheed Paristar Wali Ibn-e-Wali Hai.
Khaliq Bhi Azadar-e-Hussain Ibn-e-Ali Hai.
Kis Zarf Ka Hamil Hai Azadar Ka Seena.
Na Bugz Na Ilhad Na Oham Na Keena.
Hai Karb-o-Bala Ka Yahan Aabad Madina.
Iss Shehar Mein Dushwar Hai Agyar Ka Jeena.
Seene Pe Jo Matam Ki Yeh Tehreek Chali Hai.
Seene Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibn-e-Ali Hai.
Hum Seeno Pe Matam Se Banatay Hain Musallay.
Hoti Hai Azaan Jab Tu Sajatay Hain Musallay.
Matam Ke Jaloson Mein Bichatay Hain Musallay.
Khud Apni Zabaan Se Yeh Batatay Hain Musallay.
Sajdoon Mein Bhi Shabeer Ko Rota Hai Namazi.
Shabeer Ka Har Matami Hota Hai Namazi.
Uthta Hai Jo Matam Ko Azadar Ka Panja.
Tehzeeb Ke Seene Pe Hai Afkar Ka Panja.
Panch Ungliyaan Hain Panch Ke Iqrar Ka Panja.
Har Door Mein Har Zulm Ke Inkar Ka Panja.
Islam Ki Bunyad Ka Dhancha Bhi Yehi Hai.
Rukhsar-e-Yazeedi Pe Tamacha Bhi Yehi Hai.
Hubdar Ki Aankhon Mein Hai Rehmat Ke Zakherey.
Palkon Mein Chupay Hain Kahin Ashkon Ke Jazerey.
Jab Koh-e-Baseerat Se Utartay Hain Yeh Herey.
Ho Jate Hain Tabdeel Muqadar Ke Wateray.
Sidrah Se Azadar Ko Aati Yeh Sada Hai.
Iss Jins Ka Mehshar Mein Kharedar Khuda Hai.
Ik Ashk Se Ho Jati Hai Sansoon Ki Taharat.
Ik Ashk Se Bujh Jati Hai Dozakh Ki Hararat.
Ik Ashk Se Kar Saktay Ho Janat Ki Tijarat.
Ik Ashk Se Ho Jati Hai Maula Ki Ziyarat.
Aankhon Ko Agar Roney Ki Adat Nahi Hogi.
Turbat Mein Bhi Maula Ki Ziyarat Nahi Hogi.
Poet: :Shaukat Raza Shaukat:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2008-09:
#SarwarKeAzadar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!