ٹ کریں -->

Main Azadar Hoon 5-9 Lyrics In Urdu 2009

Main Azadar Hoon 5-9 Lyrics In Urdu 2009

Main Azadar Hoon 5-9 Lyrics In Urdu

Meri Shohrat Zamane Mein Hai Ko Ba Ko.
Mere Bare Mein Karta Hai Rab Guftugu.
Qalab-e-Bint-e-Payamber Ki Hoon Aarzu.
Munkir-e-Shah-e-Deen Ab Bhi Samjha Na Tu.
Bugz Ka Apni Se Parda Hata.
Phir Chale Ga Meri Manzilat Ka Pata.

Mere Sar Pe Hai Taj-e-Nishan-e-Qama.
Dag-e-Matam Hain Seene Pe Jalwa Numa.
Hai Baray-e-Azza Yeh Mere Dast-o-Pa.
Mustanad Hoon Meri Peet Dekho Zara.
Kyun Na Hasrat se Dekhein Mujhe Anbiya.
Hai Misal-e-Tabaruk Sarapa Mera.

-->

Khuwakhir-e-Shah-e-Deen Zainab-e-Ghumzada.
Syed-us-Sajedeen Abid-e-Be-Khata.
Our Jumla Aseeran-e-Karb-o-Bala.
Hum Ne Seekha Hai In Sab Se Matam Hai Kya.
Kaise Karte Hain Matam Bataya Humein.
Har Saleeqa Azza Ka Sikhaya Humein.

Nazriyati Safoon Mein Jo Paykar Hai.
Dushman-e-Deen Ki Sazish Ka Izhar Hai.
Iss Ke Chakar Mein Aana Hi Be-Kar Hai.
Baat Samjhe Ga Woh Jo Samajhdar Hai.
Main Zamane Ki Baton Se Razi Nahi.
Kaun Kehta Hai Keh Main Namazi Nahi.

Kar Raha Hoon Main :YASIR: Riwayat Raqam.
Umm-e-Salma Se Bole Rasool-e-Ummam.
Rab Yeh Kehta Hai Qaum Ik Utarein Gaye Hum.
Jo Manay Gi Shabir-o-Shabar Ka Gham.
Haisiyat Un Ki Ho Gi Azadar Ki.
Woh Shifat Karein Gaye Gunahegar Ki.

Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:

#MainAzadarHoon
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Main Azadar Hoon 5-9 Lyrics In Urdu 2009 Write Up Poster Image

Main Azadar Hoon 5-9 Lyrics In Urdu 2009

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!