Shaheed Ki Jo Maut Hai Woh Qaum Ki Hayat Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
شہید کی جو موت ہے وہ قوم کی حیات ہے
Maut Haider Ke Muhibon Ke Liye Jam-e-Bahar.
Naza Ka Waqt Nazar Aata Ha Phir Sham-e-Bahar.
Hum Kafan Ko Bhi Samajte Rahe Ahram-e-Bahar.
Maut Lati Hai Hamare Liye Paigham-e-Bahar.
Ab Na Aaye Gi Khizaan Sath Kath Khabar Latay Hain.
Yeh Bahar Iss Liye Aayi Hai Ali Aate Hain.
Jab Chala Qabar Ki Janib Tu Kuch Iss Tarha Chala.
Dill Mein Haider Ki Wila Munh Pa Malay Khak-e-Shifa.
Sath Matam Ke Nishaan Our Shahadat Nama.
Jab Howa Qabar Mein Dakhil Tu Yeh Manzar Dekha.
Misal-e-Gulshan Yeh Tar-o-Taza Nazar Aati Hai.
Qabar Tu Khul Ka Darwaza Nazar Aati Hai.
Di Nida Ghaib Se Hatif Ne Ke Ho Ab Hoshiyar.
Murtaza Qabar Mein Aate Hain Basad Izz-o-Wiqar.
Meri Turbat Mein Ajab Tarha Ki Aayi Hai Bahar.
Kya Haseen Maut Hai Iss Maut Pe So Zeest Nisar.
Mera Mula Meri Turbat Mein Chala Aaya Hai.
Asal Mein Ab Mujhe Marne Ka Maza Aaya Hai.
Jab Nakeerain Meri Qabar Mein Aaye Dekha.
Qabar-e-Madah-e-Ali Qabar Pe Hai Likha Howa.
Qabar Mein Mere Sirhane Hain Ali Jalwa Numa.
Choom Kar Tab Meri Turbat Ko Farishton Ne Kaha.
Hum Nahi Kehte Jawabaat Bata Do Hum Ko.
Madh-e-Haider Mein Koi Shair Suna Do Hum Ko.
Ishq-e-Haider Mein Jo Maut Aaye Itaat Ban Jaye.
Ishq-e-Haider Mein Jo Maut Aaye Saadat Ban Jaye.
Ishq-e-Haider Mein Jo Maut Aaye Ibadat Ban Jaye.
Ishq-e-Haider Mein Jo Muat Aaye Shahadat Ban Jaye.
Ishq Haider Ka Qaza Se Nahi Darne Deta.
Ishq Haider Ka Bashar Ko Nahi Marne Deta.
Aa Ke Haider Ne Meri Qabar Ko Bakhshi Hai Zain.
Jalwa Afroz Yahan Par Hain Hasan Our Hussain.
Aye Khasha Qabar Meri Ban Gayi Rashk-e-Darain.
Kya Mawadat Ka Sila Paya Hai Zill-e-Saqlain.
Qabar Se Meri Ajab Noor Ayan Hota Hai.
Meri Turbat Pe Tu Janat Ka Gumaan Hota Hai.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2009-10:
#ShaheedKiJoMautHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint