Karbala Aam Karein Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002
Karbala Aam Karein Nadeem Sarwar Lyrics
Aye Mere Dais Ke Logo Meri Aawaz Suno.
Meri Aawaz Mein Maqtal Ka Yeh Aagaz Suno.
Kya Khabar Tum Na Raho Kya Khabar Hum Na Rahein.
Aao Ik Kam Karein Karbala Aam Karein.
Jis Tarha Sani-e-Zahra Ne Issay Aam Kiya.
Aik Zanjeer Ki Jhankar Ne Woh Kam Kiya.
Jis Tarha Se Shuhda Ne Safar-e-Sham Kiya.
Yani Naizon Se Buland Our Bhi Islam Kiya.
Hum Issi Tarz-e-Qayadat Ki Ada Aam Karein.
Yeh Jo Majlis Hai Madawa Hai Har Ik Gham Ke Liye.
Ik Sogat Hai Yeh Deeda-e-Purnam Ke Liye.
Soz-e-Dil Chahiye Tehzeeb-e-Muharram Ke Liye.
Koi Tafreeq Nahi Halqa-e-Matam Ke Liye.
Roney Walon Ke Liye Farsh-e-Azza Aam Karein.
Aao Dekho Ke Yeh Khaima Yeh Alam Kis Ka Hai.
Khon Se Naam Yeh Sehra Pe Raqam Kis Ka Hai.
Abhi Tareekh Se Aagay Yeh Qadam Kis Ka Hai.
Sari Dunya Ko Bata Dein Ke Yeh Gham Kis Ka Hai.
Sari Dunya Ke Liye Gham Ki Fiza Aam Karein.
Tum Bhi Seene Mein Yeh Gham Le Ke Chalo Hum Bhi Chalein.
Tum Bhi Inkar-e-Sitam Le Ke Chalo Hum Bhi Chalein.
Tum Bhi Haq Ka Yeh Hasham Le Ke Chalo Hum Bhi Chalein.
Tum Bhi Ghazi Ka Alam Le Ke Chalo Hum Bhi Chalein.
Har Zamane Ke Liye Zikar-e-Wafa Aam Karein.
Aisa Ijaz Tu Tareekh Ne Dekha Na Suna.
Jo Diya Noor Ke Hathoon Shab-e-Ashor Bhuja.
Sab Shaheedon Ke Dilon Mein Woh Diya Ja Ke Jala.
Aaj Bhi Roshni Deta Hai Wohi Aik Diya.
Har Andherey Mein Wohi Aik Diya Aam Karein.
Pas Shabeer Ke Apne Bhi Hain Agyar Bhi Hain.
Khandan-e-Bani Hashim Bhi Hai Ansar Bhi Hain.
Hur Bhi Hain Jaun Bhi Hain Akbar-e-Jarrar Bhi Hai.
Jan Deney Ke Liye Subha Se Teyar Bhi Hain.
Aisay Maqtal Ki Fiza Ko Ba Khuda Aam Karein.
Qafila Reh Gaya Ik Dasht-e-Bala Mein Pyasa.
Jin Ki Miras Thi Kausar Unhein Pani Na Mila.
Yeh Sabeelein Unn Hi Pyason Se Wafa Hain Ba Khuda.
Koi Pyasa Na Rahe Thi Yeh Sakina Ki Dua.
Har Zameen Par Yeh Sakina Ki Dua Aam Karein.
Rehnuma Qatal Howa Qatal Qayadat Na Hoi.
Ik Imam Our Barha Khatam Imamat Na Hoi.
Jism Rondhay Gaye Pamal Shariyat Na Hoi.
Chadrein Chin Gayin Batil Ki Hakomat Na Hoi.
Yeh Muhammad Ke Gharanay Ki Wafa Aam Karein.
Mere Maula Mere Aaqa Yeh Tera Gham Na Rukay.
Kitne Tofaan Bhi :HILAL: Aaye Magar Hum Na Rukay.
Aye Azadar Yeh Majlis Yeh Muharram Na Rukay.
Waqt Kitna Hi Badal Jaye Yeh Matam Na Rukay.
Yeh Shaheedon Ka Hai Matam Ba Khuda Aam Karein.
Poet: :Dr Hilal Naqvi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2001-02:
#KarbalaAamKarein
#NohayLyrics
#tajpoint
Karbala Aam Karein Nadeem Sarwar Lyrics