Main Khak-e-Shifa Hoon Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Main Khak-e-Shifa Hoon Lyrics In Urdu and Roman Urdu

مَیں خاکِ شفاء ہوں

Hai Karab-o-Bala Merr Taruf Ka Khulasa.
Sad Shukar Khuda Main Bhi Hoon Tauheed Shanasa.
Qismat Se Mila Mujh Ko Yeh Nayab Asasa.
Madfoon Howa Mujh Mein Muhammad Ka Nawasa.
Ab Hur Ki Tarha Auj Pe Hai Mera Muqadar.
Sajday Mjhe Karte Hain Zamano Ke Payamber.
Main Aam Muyasar Nahi Har Rahguzar Mein.
Milti Hon Faqat Shah-e-Shaheedan Ke Nagar Mein.
Hoon Laik-e-Tazeeem Malangon Ki Nazar Mein.
Jo Ahl-e-Aqeeda Hain Mujhe Rakhte Hain Ghar Mein.
Beshaq Meri Barkat Se Najasat Nahi Aati.
Main Hoti Hoon Jis Ghar Mein Musibat Nahi Atti.
Hum Shakal-e-Payamber Ne Qadam Rakhe Hain Mujh Par.
Abbas-e-Dilawar Ne Qadam Rakhe Hain Mujhe Par.
Shabir Ki Khuwhir Ne Qadam Rakhe Hain Mujhe Par.
Iss Tarha Bahatar Ne Qadam Rakhe Hain Mujhe Par.
Hai Meri Taharat Ka Zamane Mein Jo Charcha.,
Yeh Paikar-e-Athar Ke Qadmon Ka Hai Sadqa.
Jis Din Se Qadoom-e-Sheh-e-Wala Se Hoi Mas.
Ik Auj Pe Qismat Meri Pohanchi Kya Kahon Bas.
Mula Ne Mujhe Itna Bana Dala Muqadas.
Aaya Meri Tazeem Ko Khud Khuld Se Fitrus.
Khlaq-e-Jahanat Ka Rab-e-Azli Hai.
Lekin Mera Khaliq Tu Hussain Ibn-e-Ali Hai.
Main Sari Khudai Mein Shifa Bakhsh Hoon Mashoor.
Dunya Ke Tabeebon Se Alag Hai Mera Dastoor.
Taseer Mein Har Marz Ko Kar Leti Hoon Mehsoor.
Phir Rehta Hai Bimar Se Har Marz Bohat Door.
Pocho Tu Zara Ja Ke Koi Hoor-o-Malak Se.
Chakhte Hain Shab-o-Rooz Mujhe Aa Ke Falak Se.
Nazdeek Se Khud Noor Fishani Ko Hai Dekha.
Hum Shakal-e-Payamber Ki Jawani Ko Hai Dekha.
Haan Hazrat-e-Shabar Ki Nishani Ko Hai Dekha.
Shabir Ko Our Haider-e-Sani Ko Hai Dekha.
Humsar Mera Is Khalq Mein Sarkar Nahi Hai.
Jaisi Hoon Main Aisa Koi Zawar Nahi Hai.
:YASIR: Yeh Haqeeqat Main Zamane Ko Suna Doon.
Ausaaf Ke Rukh Se Main Sabhi Parde Hatha Doon.
Main Apni Sahi Toor Se Pehchan Kara Doon.
Har Sahib-e-Eman Ko Yeh Raz Bata Doon.
Dar Asal Meri Iss Liye Taseer Shifa Hai.
Mujh Mein Bani Hashim Ka Laho Jazb Howa Hai.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2011-12:
#MainKhakeShifaHoon
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

error: Content is protected !!