Aa Gaya Shaban Khushiyon Ke Zamane Aa Gaye.

Aa Gaya Shaban Khushiyon Ke Zamane Aa Gaye.

آگیا شعبان خوشیوں کے زمانے آگئے

Rone Walay Mehfilon Mein Muskurane Aa Gaye.

Koan Aaya Hai Zameen Par Ban Ke Zeenat Baap Ki.
Panjtan Khud Shoq Mein Jhola Jholane Aa Gaye.

Pyas Bachpan Mein Bujha Kar Sheh Ki Ghazi Ne Kaha.
Dekhiye Baba Humein Waday Nibhane Aa Gaye.

Main  Alam Le Kar Chala Tu Ayi Ghazi Ki Sada.
Ho Mubarak Ab Tumhein Bazu Katane Aa Gaye.

Dekhne Sidra Se Aagaye Ke Manazir Jibraeel.
Fatima Zahra(SA) Ke Ghar Chaki Chalane Aa Gaye.

Shikwa Qismat Se Na Karna Jaun Se Bole Hussain(AS).
Ab Tu Razi Hai Tujhe Hum Khud Manane Aa Gaye.

Qabar Mein Pohancha Jo Momin Aayi Baleen Se Sada.
Aye Farishto Jao Kyun Iss Ko Jagane Aa Gaye.

Main Ne Likha Tha Fidak Ki Malika Tujh Ko Salam.
Khar Mein Kuch Loag Mera Ghar Jalane Aa Gaye.

Dekh Kar Manzar Najaf Se Karbala Tak Youn Laga.
Jaise Qayam(AS) Ki Hakomat Ke Zamane Aa Gaye.

Iss Jahan Mein Aye :TAKALLUM: Hum Faqeer-e-Buturab(AS).
Dushman-e-Zahra(SA) Ko Mati Mein Milane Aa Gaye.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2018-19:
Composition: :Syed Zaire Naqvi Muridke:

Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1

Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage

Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!