Khazina Khushiyon Ka Mahe Shaban Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
خزینہ خوشیوں کا ماہِ شعبان ہے
Nabi Ki Aal Ka Bara Ahsan Hai.
Utray Hain Masoom Saheefay Is Shaban Ke Seene Par.
Deen-e-Khuda So Bar Fida Hai Ik Ik Pak Nageene Par.
Lab-e-Quran Par Yehi Gardan Hai.
Bint-e-Ali Hai Woh Beti Jo Bap Ki Zeenat Kehlai.
Dono Jahan Ki Shehzadi Tatheer Ki Aayat Kehlai.
Haya Ki Pasbaan Haya Ki Shan Hai.
Aaye Jo Abbas Jahan Mein Sab Ki Muhabbat Kehti Thi.
Zainab Khud Aagosh Mein Lekar Aise Khidmat Karti Thi.
Wafa Juzdan Hai Jari Quran Hai.
Khainchi Hai Iss Pak Mahine Ne Tasveer Muhammad Ki.
Naam Ali Akbar Hai Mathay Par Tanveer Muhammad Ki.
Dil-e-Shabir Ka Yehi Arman Hai.
Zahra Ki Aagosh Mein Utra Deen-e-Khuda Ka Sarmaya.
Jiske Liye Mehbob-e-Khuda Ne Qol Yehi Tha Farmaya.
Yeh Meri Aabro Yeh Meri Jan Hai.
Waris Taig-e-Haider Aaya Tha Pandra Shaban Ko.
:MAZHAR: Our :MAZAHIR: Bas Ye Kafi Hai Eman Ko.
Woh Jis Ki Zaat Par Jahan Hairan Hai.
Poet: :Mazhar Abidi:
Manqabat Khuwan: :Mazahir Abbas:
Manqabat Volume: :Mazahir Abbas 2019-20:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com