Dua-e-Fatima Zahra Hussain Ka Ashiq Lyrics 2016
Dua-e-Fatima Zahra Hussain Ka Ashiq.
Kabhi Bhi Mar Nahi Sakta Hussain Ka Ashiq.
Ab Iss Ke Ishq Ki Manzil Ko Koi Kya Bole.
Siah Libas Mein Dekha Tu Anbiya Bole.
Hai Misal-e-Khana-e-Kaba Hussain Ka Ashiq.
Sada Yeh Detay Hain Janat Se Hazrat-e-Qanbar.
Laho Mein Matam-e-Sarwar Se Surkhuru Ho Kar.
Haseen Ho Giya Kitna Hussain Ka Ashiq.
Nashe Mein Choor Hai Ibn-e-Ziyad Hosh Mein Aa.
Safeer Sibt-e-Nabi Hai Aqeel Ka Beta.
Ulat Ke Rakh De Ga Kofa Hussain Ka Ashiq.
Gawah Hai Shab-e-Ashoor Ka Woh Bujhta Diya.
Kahin Mila Na Jahan Mein Siway-e-Karb-o-Bala.
Charag Le Ke Jo Dhonda Hussain Ka Ashiq.
Issi Liye Tu Har Ik Sar Wahan Jhuka Dekha.
Hata Ke Hum Ne Jo Romal-e-Fatima Dekha.
Jabeen-e-Hur Pe Likha Tha Hussain Ka Ashiq.
Bhala Yeh Marne Walon Ko Koi Samjhaye.
Woh Karbala Hi Pohanchta Hai Chahe Mar Jaye.
Ajal Se Bhi Nahi Rukta Hussain Ka Ashiq.
Woh Madah Khuwan Ho Koi Ya Noha Khuwaan Koi.
:WAJHI: Our :TAKALLUM: BaFaiz-e-Aal-e-Nabi.
Hai Apna Sara Qabeela Hussain Ka Ashiq.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khowan: :Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Wajhi Hasan Zaidi 2016-17:
#HussainKaAshiq
#ManqabatLyrics
#tajpoint