Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu 2009

Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu 2009

Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu

Jo Muhammad Ka Wafadar Hai ALLAH Oss Ka.
Karbala Oss Ki Najaf Oss Ka Madina Oss Ka.
Zindagi Hai Tu Bas Ali Ki Tarha.
Maut Aaye Tu Ya Hussain Hussain.
Ya Ali Ya Hussain Ya Ali Ya Hussain Ya Ali Ya Hussain Ya Ali Ya Hussain.
Aawaz-e-Muhammad Ka Asar Khatam Na Hoga.

Thak Jaye Ga Soraj Yeh Safar Khatam Na Hoga.

La Raib Keh Rasool Ki Dono Hain Zaib-o-Zain.
Pehlu Mein Ya Ali Hain Tu Godi Mein Ya Hussain.
Loh-o-Qalam Ka Ilm Ka Sahil Hai Ya Ali.
Jab Jab Khuda Ka Mulk Hai Malik Hai Ya Hussain.
Yeh Ilm Ka Dar Sabar Ka Ghar Khatam Na Hoga.

Yeh Saltanat-e-Ishq Hai Khud Daar Milein Gay.
Salman-o-Abuzar Se Wafadar Milein Gay.
Ashiq Yahan Meesum Se Jigar Daar Milein Gay.
Jeene Ke Liye Marne Pe Teyar Milein Gay.
Kat Jaye Zabaan Ishq Magar Khatam Na Hoga.

Muslim Bin-e-Aqeel Safeer-e-Hussain Hai.
Hub-e-Ali Hai Dil Mein Mosheer-e-Hussain Hai.
Woh Badshah Our Yeh Wazeer-e-Hussain Hai.
Aisa Wazeer Hai Keh Faqeer-e-Hussain Hai.
Ta Hashar Sifarat Ka Safar Khatam Na Hoga.

Hur Ko Sakhi Hussain Ne Aali Bana Diya.
Aisa Keh Panjtan Ka Sawali Bana Diya.
Nad-e-Ali Ne Iss Ko Jalali Bana Diya.
Romal-e-Fatima Ne Misali Bana Diya.
Yeh Dar Hai Ataon Ka Yeh Dar Khatam Na Hoga.

Aye Mere Rab-e-Jahan Aye Muhammad Ke Khuda.
Yeh Tera Ishq Hi Tha Jis Ki Parwaz Juda.
Panjtan Se Jo Mila Ishq Ka Tere Safar.
Ishq Haider Mein Mila Kabhi Meesum Kabhi Miqdad-o-Abuzar Mein Mila.
Kabhi Salman Ke Dil Mein Kabhi Qanbar Mein Mila.
Our Maqtal Mein Jo Dekha Tu Bahatar Mein Mila.
Laiq-e-Ishq Hai Tu Tera Jalwa Har So.

Aye Mere Rab-e-Jahan Aye Muhammad Ke Khuda.
Ishq Tu Ne Bhi Kiya Tu Muhammad Tera.
Jis Ki Chahat Ke Liye Yeh Jahan Khalq Kiya.
Woh Tera Ishq Hi Tha Woh Tera Ishq Hi Tha.
Aye Mere Rab-e-Jahan Ik Ajab Ishq Howa.

Woh Sar-e-Karb-o-Bala Tera Ashiq Hai Khara.
Khon Mein Doba Howa De Chuka Lakht-e-Jigar.
De Chuka Noor-e-Nazar De Chuka Sara Woh Ghar.
Our Khanjar Ke Talay Oss Ka Sajday Mein Hai Sar.
Na Namaz Aisi Na Ashiq Ka Kaleja Aisa.
Nook-e-Naiza Pe Bhi Karta Hi Raha Zikar Tera.

Ik Zulfiqar Khalq Mein Do Hath Se Chali.
Dast-e-Hussain-o-Panja-e-Mushkil Kusha Ali.
Yeh Mustafa Ki Jan Woh ALLAH Ka Wali.
Dono Ka Martaba Bhi Do Aalam Pe Hai Jali.
Dono Ka Iss Kamal Se Sajdah Ada Howa.
Haider Se Ibtida Hoi Yaan Khatama Howa.

Hai Waqt-e-Asar Marzi-e-Parwardigar Hai.
Ab Pusht-e-Zuljinah Pe Maula Sawar Hai.
Pehlu Mein Khon Roti Hoi Zulfiqar Hai.
Humrah Zuljinah Bhi Bohat Dilfigar Hai.
Qurban Zuljinah Pe Our Zulfiqar Par.
Chalte They Dono Marzi-e-Parwardigar Par.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2008-09:

#YaAliYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint

Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu

Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu 2009
Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu Old Noha

Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu 2009 Write Up Poster Image

Ya Ali Ya Hussain Page 1 Lyrics In Urdu 2009

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!