Baad-e-Ashor Asghar Ki Maa Khali Jhola Jhulati Rahi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بعدِ عاشور اصغرؑ کی ماں خالی جھولا جُھلاتی رہی
Our Tasawur Mein Be-Sheer Ko Ro Ke Lori Sunati Rahi.
Raat Kafi Hoi Ladlay Maa Bulati Hai Asghar Tujhe.
Thi Khabar Ab Nahi Aaye Ga Kyun Ke Maa Thi Bulati Rahi.
Iss Andheray Biyaban Mein Dar Na Jao Kahin Meh Laka.
Dar Se Khaimay Ki Maa Noha Gar Yeh Sadaein Lagati Rahi.
Apne Khaime Mein Roti Rahi Qatal-e-Asghar Pe Ashgar Ki Maa.
Our Foaj-e-Sitamgar Wahan Khoob Khushiyaan Manati Rahi.
Jane Kis Ki Nazar Lag Gayi Meri Aagosh Khali Hoi.
Dekh Kar Kokh Ujari Hoi Bano Aanso Bahati Rahi.
Kya Kare Qaid Hai Ghamzada Apne Masoom Be-Sheer Ki.
Lash Naizay Pe Atki Hoi Dekh Kar Thar Tharati Rahi.
Kaisi Mamta Hai :YASIR RAZA: Saye Mein Na Gayi Ghamzada.
Banoye Khasta Dil Dhop Mein Umar Apni Bitati Rahi.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Ali Adil:
Noha Shehzada Ali Asghar Loori
#Loori
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com