Zawaron Ke Youn Naaz Uthate Hain Farishte Lyrics In Urdu and Roman Urdu
زوّاروں کے یوں ناز اُٹھاتے ہیں فرشتے
Palkon Ko Sar-e-Rah Bichate Hain Farishte.
Yeh Dar Kabhi Khudam Se Khali Nahi Rehta.
Aate Hain Farishte Kabhi Jate Hain Farishte.
Taqdeer Ko Jab Tak Dar-e-Sarwar Nahi Milta.
Insan Tu Kya Thokarein Khate Hain Farishte.
Waise Inhein Hajat Tu Nahi Naan-o-Namak Ki.
Iss Dar Ka Tabaruk Ho Tu Khate Hain Farishte.
Jab Dekhta Hoon Farsh-e-Azza Deeda-e-Dil Se.
Insaan Se Zyda Nazar Atte Hain Farishte.
Yeh Hazrat-e-Abbas Ka Roza Tu Nahi Hai.
Sheh Par Jo Sametay Hoye Aate Hain Farishte.
Abbas-e-Dilawar Ka Alam Choom Raha Hoon.
Dekho Mera Munh Choomne Aate Hain Farishte.
Parhte Hain :BILAL: Aap Jo Mula Ka Qasida
Sunne Ke Liye Arsh Se Aate Hain Farishte.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2013-14:
#Farishte
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com