Mohtaj-e-Lafziyaat Na Tha Zikar-e-Panjtan Lyrics In Urdu and Roman Urdu
محتاجِ لفظیات نہ تھا ذکرِ پنجتنؑ
Kun Se Bhi Pehle Rab Ne Kiya Zikar-e-Panjtan.
Jhutlaye Ga Tu Kaise Sanad Mustafa Ki Hai.
Hum Par Laga Na Fatway Yeh Sunat Khuda Ki Hai.
Hai Maqsad-e-Hadees-e-Kisa Zikar-e-Panjtan.
Mar Kar Bhi Zinda Rehne Ka Saman Kar Gaye.
Mesum Faraz-e-Dar Se Aylan Kar Gaye.
Waqt-e-Qaza Bhi Ho Na Qaza Zikar-e-Panjtan.
Parh Bughz-e-Ahl-e-Bait Ki Ainak Utar Kar.
Dawa Hai Mera Tujh Ko Bhi Aa Jaein Gaye Nazar.
Quraan Mein Jab Baja Hai Likha Zikar-e-Panjtan.
Hasnain-o-Buturab Nabi-o-Batool Tak.
Woh Khud Hi Le Jaygi Az Farsh Ta Falak.
Main Ne Hawa Ko Sonp Diya Zikar-e-Panjtan.
Kuch Iss Tarha Se Oss Ghari Bad-e-Najaf Chali.
Kabay Ne Jhom Jhom Ke Ghazi Ko Daad Di.
Chat Par Jo Oss Ne Apni Suna Zikar-e-Panjtan.
Dewangi Se Baat Yeh Aayi Hai Aqal Mein.
Alhamd Mein Qanoot Tashahud Ki Shaqal Mein.
Jari Namaz Mein Bhi Raha Zikar-e-Panjtan.
Mere Padar Ko Unn Ke Padar Ne Atta Kiya.
:ASHHAR: Hai Teen Nasloon Se Jari Yeh Silsila.
Meraas Mein Mujh Ko Mila Zikar-e-Panjtan.
Poet: :Ashhar Mehdi:
Manqabat Khuwan: :Syed Askari Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2014-15:
#ZikarePanjtan
#ManqabatLyrics
#tajpoint