Munfarid Mojza-e-Noor-e-Khuda Hai Asghar Lyrics In Urdu and Roman Urdu
منفرد معجزہء نورِ خُدا ہے اصغرؑ
Cheh Mahino Mein Rasoolon Se Bara Hai Asghar.
Tu Ne To Paon Zameen Par Nahi Rakhe Lekin.
Tere Pairon Pe Yeh Islam Khara Hai Asghar.
Yeh Batane Ko Keh Bait Nahi Karte Hum Loag.
Muthiyaan Beech Ke Maidaan Ko Chala Hai Asghar.
Aa Ke Dewar-e-Haram Choom Le Seena Mera.
Dil Ke Gehware Mein Mehman Howa Hai Asghar.
Chodah Sadiyon Se Hakomat Nahi Badli Isski.
Aaj Tak Mulk-e-Tabasum Ka Khuda Hai Asghar.
Sanam Hoi Iss Tarha Dada Ki Shujat Iss Mein.
Main Ne Likha Tha Ali Our Parha Hai Asghar.
Iss Ko Kehte Hain Haqeeqat Mein Shahadat Ka Asar.
Gardano Par Mere Bachoon Ne Likha Hai Asghar.
Titliyaan Shakh-e-Gulistaan Se Jo Lipti Hain :BILAL:.
Aisa Lagta Hai Ke Pholon Pe Likha Hai Asghar.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2014-15:
#BaraHaiAsghar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com