Mojza Aisa Howa Matam-e-Zanjeer Ke Bad Lyrics In Urdu and Roman Urdu
معجزہ ایسا ہوا ماتمِ زنجیر کے بعد
Ho Gaya Dard Dawa Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Kab Mere Lab Pe Faqat Dawa-e-Ya Laytani Hai.
Ishq Sabit Bhi Kiya Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Samne Aankhon Ke Thi Karb-o-Bala Our Hussain(AS).
Koi Parda Na Raha Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Mera Dil Mera Laho Meri Ragein Mera Badan.
Shukriya Kehne Laga Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Shukar Iss Naimat-e-Uzma Ka Tha Wajib Mujh Par.
Bas Main Sajday Mein Jhuka Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Sirf Khushnodi-e-Zahra(SA) Thi Mere Paish-e-Nazar.
Kab Koi Mangi Dua Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Ungliyaan Kat Gayin Zakhmi Hoye Dandan-e-Awais(RA).
Haan Magar Fatwa Utha Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Mere Betoon Ke Azadaro Sada Jeetay Raho.
Ayi Zahra(SA) Ki Sada Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Waar Jitne Bhi Aqeeday Pe Howay Thay :MUHSIN:.
Be-Asar Sab Ko Kiya Matam-e-Zanjeer Ke Bad.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Manqabat Khuwan: :Master Syed Muhammad Shah:
Manqabat Volume: :Master Syed Muhammad Shah 2018-19:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com