Aye Chand Karbala Ke Tu Ne Tu Dekhey Hoon Gay Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اے چاند کربلا کے(سوز)
Utray They Iss Zameen Par Arsh-e-Barin Ke Taray.
Aye Chand Jalwa Gar Hai Hashim Ka Chand Yaan Par.
Khairat Roshni Ki Le Lijiyo Yahan Se.
Aye Chand Iss Zameen Par Rakhiyo Hamesha Thandak.
Sotay Jo Hain Yahan Par Zahra Ke Hain Yeh Pyaray.
Tasneem-o-Salsabeel-o-Kausar Ke Hain Yeh Malik.
Marey Gaye Jo Pyasay Iss Nehar Ke Kinaray.
Hur Our Habib Jaisay Janbaz Our Ahba.
Marey Gaye Yahin Par Ansar Shah-e-Dein Ke.
Marey Gaye Yahin Par Be Dardi-o-Sitam Se.
Muslim Ke Dono Pyaray Zainab Ke Dono Betay.
Pamal Ho Rahi Thi Qasim Ki Lash Ran Mein.
Abbas Our Sarwar Chuntay They Unn Ke Tukray.
Bazu Katay Yahin Par Abbas-e-Bawafa Ke.
Izn-e-Waga Na Paya Pani Bhi La Na Paye.
Iss Sar Zameen Pe Guzra Sarwar Pe Yeh Bhi Sadma.
Seene Pe Khayi Barchi Humshakal-e-Mustafa Ne.
Pani Pilaney Laye Ik Meh Laqa Ko Sarwar.
Kiya Zibha Hurmala Ne Teer-e-Sitam Laga Ke.
Gardan Chidi Pisar Ki Bazu Chida Padar Ka.
Dono Tarap Tarap Kar Pyasay Jahan Se Guzrey.
Iss Ban Mein Aik Bachi Baba Ko Dhondti Thi.
Bikhrey Hoye Paray They Jab Sar Bureda Lashay.
Phir Yeh Bhi Tu Ne Dekha Woh Gham Raseeda Bachi.
Seene Pe So Rahi Thi Be Sar Padar Se Liptay.
Bazu Bandhay Yahin Par Pehle Pehal Haram Ke.
Iss Sar Zameen Se Nikley Sajjad Sar Jhukaye.
Shehzada-e-Jinna Hi Malik Hai Karbala Ka.
Kis Ki Majal Aaye Jab Tak Na Woh Bulaye.
Pohancha Hai Karbala Mein Na Cheez :SIBT-E-JAFAR:.
Aye Kash Phir Muqadar Hum Ko Yeh Din Dikhaye.
Poet-o-Soz KhuwaN: :Ustad Sibt-e-Jafar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2004-05:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2013-14:
#AyeChandKarbalaKe
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com