Mah e Muharram Chand Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2022
Mah e Muharram Chand Mir Hasan Mir
Sughra Ko Muharram Ka Jab Chand Nazar Aaya.
Yaad-e-Sheh-e-Wala Ne Dil Our Bhi Tarpaya.
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain.
Aa Gaya Mah-e-Muharram Par Nahi Aaye Hussain.
Yaad Pardais Mein Aati Hai Lehad Amma Ki.
Dil Ka Ahwal Sunanay Ko Kahan Jaye Hussain.
Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Aaye.
Kaisay Iss Haal Mein Sughra Se Jiya Jaye Hussain.
Jab Se Yeh Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai.
Amma Roti Hain Tujhey Aye Mere Maa Jaye Hussain.
Koi Tasveer Tu Zahra Ki Rahi Parday Mein.
Yeh Tu Acha Howa Sughra Ko Nahi Laye Hussain.
Naam Par Shah Ne Akbar Ke Kharedi Hai Zameen.
Kaisay Jageer Tujhey Bhai Ki Dikhlaye Hussain.
Eid Bhi Soag Ke Aalam Mein Guzari Oss Ne.
Haye Akbar Kabhi Kehti Thi Kabhi Haye Hussain.
Mustaqil Shah Ki Aankhon Se They Aanso Jari.
Khat-e-Sughra Ko Mukamal Nahi Parh Paye Hussain.
Aik Ik Beti Se Rukhsat Hoye Khaimay Mein Magar.
Haye Afsoos Keh Sughra Se Na Mil Paye Hussain.
Likh Ke Noha Yeh :TAKALLUM: Ne Dua Mangi Hai.
Har Azadar Ko Ashor Pe Bulwaye Hussain.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2022-23:
Composition: :Raza Shah:
#MaheMuharramChand
#NohayLyrics
#tajpoint