Al-Ajal Kehte Hoye Ahl-e-Azza Aao Sab Sham Chalein Lyrics In Urdu 2013
Al-Ajal Kehte Hoye Ahl-e-Azza Aao Sab Sham Chalein.
Pora Karne Ke Liye Ahd-e-Wafa Aao Sab Sham Chalein.
Jazba-e-Hur Se Ho Sarshar Tu Darna Kaisa.
Inki Ulfat Mein Jo Maut Aaye Tu Marna Kaisa.
Bad-e-Rehlat Bhi Agar Hai Jeena Aao Sab Sham Chalein.
Apne Azhan Ko Aamadah-e-Paikar Karein.
Dushman-e-Sani-e-Zahra Pe Chalo Waar Karein.
Farz Jo Farz Hai Woh Karne Ada Aao Sab Sham Chalein.
Foaj-e-Buzdil Hai Mazaraat Se Ar Sakti Hai.
Nasal-e-Farrar Hai Qabron Se Hi Lar Sakti Hai.
Gardanein Unn Ki Urane Ba-Khuda Aao Sab Sham Chalein.
Hum Azadar Hain Wajib Hai Wahan Par Jaein.
Waqt Hai Maqsad-e-Takhleeq Amal Mein Laein.
Hum Se Khush Hoon Gaye Sakina Ke Chacha Aao Sab Sham Chalein.
Khandan-e-Bani Hashim Se Adawat Ki Hai.
Phir Musalmano Ne Tauheen-e-Risalat Ki Hai.
Ahtejajan Wahan Dene Dharna Aao Sab Sham Chalein.
Hai Yaqeen Mujh Ko Ke Mehdi Wahan Aa Jaein Gaye.
Aa Ke Khud Farsh-e-Azza Anbiya Bichwaein Gaye.
Ho Gi Jab Majlis-e-Shabir Bapa Aao Sab Sham Chalein.
Turbat-e-Zainab-e-Kubra Pe Sitam Jari Hai.
Marqad-e-Bali Sakina Pe Sitam Jari Hai.
Fatima Zahra Ko Dene Pursa Aao Sab Sham Chalein.
Hazrat-e-Hujjat-e-Aakhir Ko Ho :YASIR: Ka Salam.
Sham Mein Barhte Mazalim Pe Hain Magmoom Imam.
Khatam Ghaibat Ho Chalo Karne Dua Aao Sab Sham Chalein.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2013-14:
#AaoSabShamChalein
#NohayLyrics
#tajpoint
Al-Ajal Kehte Hoye Ahl-e-Azza Aao Sab Sham Chalein Lyrics In Urdu 2013 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
