Hai Chand Sa Chehra Yeh Shabahat Rasool Ki Lyrics In Urdu 2017

Hai Chand Sa Chehra Yeh Shabahat Rasool Ki.
Akbar Ki Jawani Hai Inayat Batool Ki.

Beta Hai Oss Hussain Ka Akbar Ko Naaz Hai.
Jis Ke Liye Nabi Ne Ibadat Bhi Tool Ki.

Ho Kar Sawar Ghoray Pe Akbar Se Bola Hur.
Marne Chala Main Kar Ke Ziyarat Rasool Ki.

Akbar Ki Jawani Mein Tha Haider Ka Rang-o-Roop.
Kaise Na Bachate Woh Kamai Rasool Ki.

Akbar Ke War Dekh Ke Kufar Ne Kaha.
Sorat Mein Yeh Jawan Shabeeh Hai Rasool Ki.

Akbar Ke Qatilaan Pe Lanat Ho Beshumar.
Dunya-o-Akhrat Mein Halakat Wasool Ki.

Akbar Teri Azan Ka Charcha Hai Aaj Bhi.
Jeeti Hai Janag Iss Tarha Haq-e-Hasool Ki.

Manga Khuda Se Sadqa-e-Akbar Se Jab :HASAN:.
Khaliq Ne Aik Bar Dua Phir Qabool Ki.

Poet: :Sabeeh Hasan Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Sabeeh Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2017-18:

#HaiChandSaChehra
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Hai Chand Sa Chehra Yeh Shabahat Rasool Ki Lyrics In Urdu 2017 Write Up Poster Image

Hai Chand Sa Chehra Yeh Shabahat Rasool Ki Lyrics In Urdu 2017

Video Link

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!