Beemar e Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2018
Beemar e Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai.
Phir Fatima Ke Ghar Mein Farsh-e-Azza Bicha Hai.
Beemar-e-Karbala Ka Taboot Utha Raha Hai.
Karb-o-Bala Ka Zakhmi Yasrab Mein Chal Basa hai.
Zair-e-Kafan Bhi Oss Ki Aankhon Se Khoon Hai Jari.
Yaad Aa Rahi Hai Ghurbat Sajjad Ko Padar Ki.
Rozay Se Mustafa Ke Aylan Ho Raha Hai.
Baqir Se Keh Raha Tha Sadaat Ka Gharana.
Pehlu Mein Nana Jaan Ke Maiyyat Ne Le Ke Jana.
Pehle Bhi Ik Janaza Ghar Wapis Aa Chuka Hai.
Ab Tu Madine Walo Tum Ko Sakoon Rahe Ga.
Roye Ga Our na Iss Ki Aankhon Se Khoon Bahe Ga.
Baba Ko Rone Wala Khamosh Ho Gaya Hai.
Maiyyat Ke Aagay Aagay Yeh Koi Keh Raha Tha.
Bazar Se Na Guzray Sajjad Ka Janaza.
Bazar Ko Yeh Qaidi Rota Howa Gaya Hai.
Mara Hai Iss Tarha Se Zalim Ne Zehar De Ke.
Kat Kat Ke Bahir Aaye Iss Ke Jigar Ke Tukray.
Pehlu Pe Fatima Ke Phir Zakhm Ik Laga Hai.
Taboot Se Lipat Kar Kehti Hai Koi Bachi.
Zindan Se Hai Aayi Bhiyya Behan Tumhari.
Aankhein Tu Khol Lo Ab Sar Par Mere Rida Hai.
:AKBAR: Jo Lash-e-Fizza Dafna Ke Uthay Mula.
Aayi Sada-e-Zainab Baqir Watan Chala Ja.
Sajjad Ka Janaza Teyar Ho Gaya Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2018-19:
#BeemareKarbalaKaTaboot
#NohayLyrics
#tajpoint