Taboot Hasan Ka Mesum Abbas Lyrics In Urdu 2018
Taboot Hasan Ka Mesum Abbas Lyrics
Teeron Ne Sajaya Hai Taboot Hasan Ka.
Ghar Laut Ke Aaya Hai Taboot Hasan Ka.
Shabbir Yeh Kehte They Shabbar Ke Janazay Par.
Kyun Khoon Mein Nahaya Hai Taboot Hasan Ka.
Ujla Tha Kafan Lekin Be Dard Laeeno Ne.
Khoon Rang Banaya Hai Taboot Hasan Ka.
Ik Dunya Mukhalif Thi Pochay Koi Sarwar Se.
Kis Tarha Uthaya Hai Taboot Hasan Ka.
Jab Teeron Ki Barish Thi Aye Shah-e-Najaf Tum Ne.
Girney Se Bachaya Hai Taboot Hasan Ka.
Mehsos Yeh Hota Hai Taboot Ki Chadar Se.
Zainab Ne Banaya Hai Taboot Hasan Ka.
Aye Bint-e-Nabi Tum Ne Khud Aa Ke Baqiya Se.
Aankhon Se Lagaya Hai Taboot Hasan Ka.
Pehlu Mein Muhammad Ke Rakhne Na Diya Lasha.
Bahir Se Dikhaya Hai Taboot Hasan Ka.
Ashab-e-Nabi Koi Pohanchay Na Janazay Mein.
Jaisay Keh Paraya Hai Taboot Hasan Ka.
Amma Ko Salami Jo Deni Thi Baqiya Mein.
Rukta Howa Aaya Hai Taboot Hasan Ka.
:REHAN: Ka :MEESUM: Ka Yeh Dil Hai Azakhana.
Iss Dil Mein Basaya Hai Taboot Hasan Ka.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2017-18:
Composition: :Raza Shah & Mesum Abbas:
#TabootHasanKa
#NohayLyrics
#tajpoint