Taboot E Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2014
Taboot E Hussain Nadeem Sarwar Lyrics
Aa Raha Hai Taboot-e-Hussain-e-Ghareeb Wawela Wawela.
Momino Uthta Hai Taboot-e-Ghareeb-e-Zahra.
Jis Ko Nu Lakh Laeeno Ne Daga Se Mara.
Pusht-e-Gardan Se Jisay Haye Ghazab Qatal Kiya.
Darmiyaan Zeen-o-Zameen Ke Raha Jis Ka Lasha.
Chodah Sadiyon Se Jisay Ahl-e-Azza Rotay Hain.
Aisay Bekas Ko Hussain Ibn-e-Ali Kehte Hain.
Oss Ka Taboot Hai Jis Ne Hai Bara Gham Dekha.
Apna Ghar Luttay Hoye Daswein Muharram Dekha.
Apne Ansar Rafiqon Ko Lab-e-Dam Dekha.
Akbar-o-Qasim-o-Abbas Ka Matam Dekha.
Subha Se Sham Talak Lashon Pe Lashein Laya.
Oss Ki Ik Lash Koi Bhi Na Uthane Aaya.
Jab Bhi Taboot Yeh Uthta Hai Kahin Wawela.
Sham Se Iss Ki Behan Aati Hai Karne Giriya.
Sath Ik Bachi Bhi Aati Hai Sunanay Noha.
Apne Baba Ke Azadaron Ko Deti Hai Dua.
Door Ke Baba Ke Taboot Pe Gir Jati Hai.
Haye Taboot Se Roney Ki Sada Aati Hai.
Iss Ka Ik Beta Tha Atharah Baras Ka Akbar.
Ayyu Halbadar-e-Tamami Tha Yehi Noor-e-Nazar.
Biyah Ke Din They Bohat Khush Thin Behan Our Madar.
Haye Afsoos Sina Kaat Gayi Oss Ka Jigar.
Iss Ki Majboor Zaeefi Ko Sahara Deney.
Aaj Aaya Hai Yeh Taboot Ko Kandah Deney.
Jis Ka Taboot Hai Ik Bhai Tha Iss Ka Safdar.
Loag Kehte They Ossay Karb-o-Bala Ka Haider.
Ho Ke Be Dast Gira Jab Woh Zameen Ke Opar.
Bas Ossi Din Se Na Seedhi Hoi Bekas Ki Kamar.
Jab Jahan Bhi Kahin Taboot Baraamad Yeh Howa.
Aray Barh Ke Karta Hai Alamdar Ka Parcham Saya.
Zair-e-Taboot Jo Nana Sa Yeh Gehwara Hai.
Iss Se Zahir Hai Keh Baba Ko Bohat Pyara Hai.
Kurta Iss Bachay Ka Bhi Khon Mein Tar Sara Hai.
Iss Ke Hathoon Pe Laeeno Ne Issay Mara Hai.
Sath Taboot Ke Shamil Hain Azadaron Mein.
Sab Se Kam Sin Yeh Azadar Hai Ghumkhuwaron Mein.
Asar Ka Waqt Tha Gash Kha Ke Jo Ghorey Se Gira.
Iss Nehatay Pe Hazaron Ka Jo Lashkar Toota.
Ho Ke Be Hosh Yeh Phir Zeen Se Ghorey Ki Gira.
Darmiyaan Zeen-o-Zameen Haye Badan Tha Iss Ka.
Thi Behan Samne Jab Seene Pe Jalad Charha.
Aray Maa Ke Zanu Pe Tha Jab Haye Galla Iss Ka Kata.
Shor-e-Matam Mein Yeh Kaun Aaya Basad Aah-o-Boka.
Ke Loag Chilaney Lagay Ya Ali Haider Maula.
Sath Ik Bibi Hai Orhay Hoye Kala Burqa.
Kehti Hai Maa Hoon Teri Pehlu Shikasta Zahra.
Kya Adab :SARWAR-o-REHAN: Nazar Aata Hai.
Maa Padar Ke Liye Taboot Jhuka Jata Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2014-15:
#TabootEHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Taboot E Hussain Nadeem Sarwar Lyrics Urdu