Mujhe Bhi Watan Le Chalo Mujhe Bhi Lyrics 2010
Mujhe Bhi Watan Le Chalo, Mujhe Bhi Watan Le Chalo.
Main Kaise Rahon Gi Yahan Par Yahan Hai Bhala Kon Mera.
Reha Ho Ke Ghar Jane Walo Mujhe Bhi Kahin Par Bitha Lo.
Shahedon Ke Sar Hain Jahan Par Mujhe Bhi Wahin Par Sula Do.
Main Baba Ke Sar Se Lipat Kar Safar Kaat Loon Gi Yeh Sara.
Na Youn Chor Kar Jao Amma Mujhe Shamiyon Ke Sahare.
Yateemi Ki Mari HOi Ko Sataya Bohat Zalimo Ne.
Bohat Khof Aata Hai Mujh Ko Tumhein Wasta Syeda(SA) Ka.
Suna Hai Ke Wapis Mile Hain Tumhein Shimar Se Mere Gohar.
Bhala Kya Karo Gaye Tum Unn Ka Agar Reh Gayi Main Yahan Par.
Inhein Bhi Amanat Samajh Kar Ya Dafna Do Zindan Mein Ya.
Jo Pohanche Madina Tu Amma Phir Rakht-e-Mosibat Na Aaye.
Sina Our Akbar(AS) Ki Batein Sunane Ki Nobat Na Aaye.
Meri Lash Ko Dekh Kar Hi Samjah Le Gi Har Baat Sughra(SA).
Yehi Soch Kar Zair-e-Turbat Tarapta Hai Dukhiya Ka Lasha.
Mujhe Shimar Ke Shehar Mein Ab Hamesha Hi Rehna Pare Ga.
Dharakta Nahi Phir Bhi Amma Yeh Dil Kanp Jata Hai Mera.
Sar-e-Shah-e-Deen Kuch Tu Bolo Sifarish Karo Kuch Hamari.
Qaza Aa Gayi Hai Tu Phir Kya Main Beti Hoon Baba Tumhari.
Na Inkar Kar Paein Gi Woh Phophi Se Zara Keh Do Baba.
Yeh Halat Thi Har Ik Qadam Par Madine Ke Raste Mein :AKBAR:.
Giri Thi Jahan Par Sakina(SA) Tamache Lagay The Jahan Par.
Wahan Khak Se Qaidiyon Ko Sadaein Yeh Aati Thin Har Ja.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2010-11: