Shabar Ka Jigar Tukray Tukray Qasim Ka Badan Tukray Tukray Lyrics In Urdu and Roman Urdu
شبرؑ کا جگر ٹکڑے ٹکڑے قاسمؑ کا بدن ٹکڑے ٹکڑے
Afsos Sitam Garon Ne Kiya Zahar(SA) Ka Chaman Tukray Tukray.
Zahra(SA) Ke Goad Ke Palon Par ALLAH Yeh Kaisi Ghurbat Hai.
Ik Lash Tu Hai Muhtaj-e-Kafan Hai Ik Ka Kafan Tukray Tukray.
Shabar(AS) Ka Janaza Teeron Se Yasrab Mein Howa Chalni Chalni.
Qasim(AS) Ka Badan Ghoron Se Howa Aye Charkh-e-Kohan Tukray Tukray.
Roye Gi Kabhi Chalaye Gi Ghash Bali Sakina(SA) Khaye Gi.
Dekhe Gi Bhala Kin Aankhon Se Bhai Ko Behan Tukray Tukray.
Qasim(AS) Ke Janaze Par Sarwar(AS) Ta Dair Yeh Keh Kar Rote Rahe.
Kis Tarha Uthaon Lash Teri Hai Tera Badan Tukray Tukray.
Lo Pusht-e-Faras Se Girta Hai Ik Tera Baras Ka Shehzada.
Sadmay Se Larzti Hai Dharti Hai Gham Se Gagan Tukray Tukray.
Khud Apne Jigar Ke Tukron Ko Pehchan Na Payi Madar Bhi.
Ghoron Ke Sumo Se Aisa Howa Hai Tashna Dahan Tukray Tukray.
Khamosh :BILAL: Shah-e-Zamaan(AS) Aasan Nahi Pyasay Ka Biyaan.
Hoti Hai Atash Paiwasta Galo Hota Hai Sukhan Tukray Tukray.
Poet: :Bilal Kazmi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2014-15:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com