Sar o Badan Imam e Mazloom e Karbala Ka Mukalma Hasnain Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بدن و سرِ امامِؑ مظلومِ کربلا کا مکالمہ
Badan Se Shah Ke Sar Shah Ka Yeh Kehta Hai.
Main Naizay Par Hoon Tujhe Shamiyon Ne Loota Hai.
Sar-e-Hussain Badan Se Yeh Keh Ke Rota Tha.
Jab Aa Ke Shimar Ne Baloon Se Mujh Ko Pakra Tha.
Laeen Pehle Tu Seene Pe Tere Betha Tha.
Zara Sa Dam Tha Jo Tujh Mein Woh Aisay Rukta Tha.
Keh Jaisay Koi Bhi Dam Ghutnay Se Tarapta Hai.
Badan Hussain Ka Bola Tarap Ke Yeh Sar Se.
Najanay Bugz Tha Logon Ko Kaisa Sarwar Se.
Jahan Se Kata Gaya Tujh Ko Kund Khanjar Se.
Mujhe Bhi Mara Gaya Hai Wahin Pe Thokar Se.
Sitam Jo Hum Pe Howa Hai Woh Aik Jaisa Hai.
Yeh Bola Dekh Ke Maqtal Ki Simt Shah Ka Sar.
Jahan Jahan Se Main Guzra Hoon Khaye Hain Pathar.
Pukarey Bagi Ka Sar Hai Yeh Loag Hans Hans Kar.
Our Aik Zulm-e-Musalsal Tu Aisa Hai Mujh Par.
Gara Howa Meri Gardan Mein Ab Bhi Naiza Hai.
Kaha Badan Ne Hoi Aisay Meri Pamali.
Mili Hain Pusht Se Youn Tooti Pasliyaan Meri.
Keh Haye Dekh Ke Zainab Na Mujh Ko Pohchani.
Girein Gay Tukray Mere Gar Mujhe Uthaye Koi.
Hazaron Naizon Ne Mujh Ko Kuch Aisay Kata Hai.
Sakina Aayi Tu Oss Ko Sula Na Paya Main.
They Zakhm Seene Pe Itney Litta Na Paya Main.
Sitam Se Shimar Ke Oss Ko Bana Na Paya Main.
Jab Oss Ko Baloon Se Pakra Chura Na Paya Main.
Tamacha Oss Ne Bhi Meri Tarha Se Khaya Hai.
Kaha Yeh Sar Ne Sakina Ko Youn Sataya Gaya.
Hai Mere Samne Bazaron Mein Phiraya Gaya.
Dikha Ke Naizay Pe Mujh Ko Ossay Rulaya Gaya.
Rasan Pinhai Gayi Pani Na Pilaya Gaya.
Sitam Yeh Khoon Bhari Aankhon Se Main Ne Dekha Hai.
Lipat Ke Tujh Se Jo Jee Bhar Ke Ro Na Payi Hai.
Woh Mere Sath Behan Logon Ne Phirai Hai.
Churi Bhi Tujh Pe Chala Kar Jisay Dikhai Hai.
Ossi Ke Samne Mujh Par Chari Chalai Hai.
Ab Iss Se Barh Ke Sitam Kya Behan Pe Hona Hai.
Badan Se Kaat Ke Sar Ja Baja Phiratay Hain.
Juda Bhi Kar Ke Humein Ashqiya Se Satatay Hain.
Na Dafan Kartay Hain Dono Ko Na Milatay Hain.
Youn Aik Dojay Se Hum Door Gham Uthatay Hain.
:ASAD: Badan Se Koi Sar Youn Door Rehta Hai.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Hasnain Abbas:
Noha Volume: :Hasnain Abbas 2021-22:
Composition: :Waheed-Ul-Hasan Kamalvi:
#SaroBadan
#NohayLyrics
#tajpoint