Shabar Ke Janaze Ko Sajjad Ashraf Taqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Shabar Ke Janaze Ko Sajjad Ashraf Taqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

شبرؑ کے جنازے کو مسلمانوں نے واپس لوٹا دیا ہے

Shabar Ke Janazay Ko Musalmano Ne Wapis Lauta Diya Hai.
Haye Kash Soch Letey Zahra Ka Yeh Pyara Hai Jo Bint-e-Mustafa Hai.
Taboot Lautana Tha Haye Teer Na Chalatay.
Baqiya Mein Fatima Ko Itna Tu Na Satatay.
Haider Ki Betiyon Ko Socho Tu Zarra Logo Kis Baat Ka Sila Hai.
Niklay Hasan Ke Tukray Farwa Jo Dekhey Bikhrey.
Haye Naseeb Mere Kehne Lagi Tarap Ke.
Kis Ki Nazar Lagi Hai Zahra Ke Bharay Ghar Ko Ummat Ne Kya Kiya Hai.
Kehti Thi Ro Ke Farwa Hum Se Na Door Jao.
Qasim Abhi Hain Kamsin Maula Humein Bachao.
Dushman Hoi Khudai Bin Aap Ke Dunya Mein Ab Kaun Aasra Hai.
Bazaron Mein Maiyyat Par Paikaan Baras Rahe They.
Taboot Ko Uthaye Abbas Ro Rahe They.
Mehsos Ho Raha Tha Aoulad-e-Muhammad Par Aagaz-e-Karbala Hai.
Taboot Toota Toota Our Kafan Bhi Chida Tha.
Maiyyat Ke Har Zakhm Se Haye Khon Beh Raha Tha.
Kis Haal Mein Utha Hai Dunya Mein Janaza Yeh Na Uthay Ga Na Utha Hai.
Aisi Misal Koi Milti Nahi Dehar Mein.
Ghar Se Utha Janaza Phir Laut Aaye Ghar Mein.
Kis Be Basi Se Wapis Aaya Tha Janaza Yeh Tareekh Bhi Gawah Hai.
Poet: :Banda e Momin:
Noha Khuwan: :Sajjad Ashraf Taqvi:
Noha Volume: :Sajjad Ashraf Taqvi 2022-23:
Matami Sangat Khan Tasaduq Khan
#ShabarKeJanazeKo
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!