Jashn Zahra Ka Jab Manatay Hain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جشن زہراؑ کا جب مناتے ہیں
Arsh Walay Bhi Sunnay Aatay Hain.
Yeh Woh Midhat Hai Jis Ko Sunne Ko.
Choda Taray Zameen Pa Aatay Hain.
Aaj Pori Hoi Nabi(SAWW) Ki Dua.
Dil Ka Arman Ab Howa Pora.
Tana Abtar Ka Ab Na De Koi.
Khud Nabi(SAWW) Keh Ke Muskuratay Hain.
Bolay Rahib Muqabila Na Karo.
Aise Chehron Ka Samna Na Karo.
Reza Reza Pahar Ho Jaein.
Ik Ishara Jo In Ka Patay Hain.
Thay Kisa Mein Rasool(SAWW) Our Imam(AS).
Zahra(SA) Tera Magar Alag Hai Muqam.
Tu Taruf Ke Sab Ka Zariya Hai.
Markazi Noor Tujh Ko Patay Hain.
Baat Zahra(SA) Ne Jo Agar Keh Di.
Hukam Ban Kar Woh Arsh Par Pohanchi.
Tere Bachoon Ke Eid Ke Kapre.
Phir Tu Rizwan Si Ke Latay Hain.
Tere Dar Ke Ghulam Hain Sare.
Hoon Woh Jin-o-Bashar Falak Walay.
Tere Dar Se To Rotiyaan Lenay.
Arsh Walay Zameen Pe Aate Hain.
Fikar-e-Dozakh Na Fikar-e-Janat Hai.
Tere Bachoon Se Agar Muhabbat Hai.
Jab Bhi Jatay Hain Karbala Zahra(SA).
Apni Janat Zameen Pe Patay Hain.
:JOAN: Jab Bhi Quran Parhte Hain.
:RIZVI: Jitna Bhi Ghoor Karte Hain.
Aisa Lagta Hai Aye Meri Bibi(SA).
Woh Qasida Tera Sunatay Hain.
Poet: :Mahmood Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Joan Rizvi:
Manqabat Volume: :Joan Rizvi 2019-20:
Composition: :Own Rizvi:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com