æSakhi Abbas Alamdar Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2022
Sakhi Abbas Alamdar Joan Rizvi
Sakhi Abbas Alamdar.
Jarri Abbas Alamdar.
Tu Shair-e-Jali Ibn-e-Ali Ibn-e-Wali Hai.
Kehti Hai Tujhey Karb-o-Bala Haider-e-Karrar.
Tu Fatima Zahra Ki Duaon Ka Sila Hai.
Khud Haider-e-Karrar Ne Manga Tu Mila Hai.
Tu Bhi Hai Ali Teri Ragoon Mein Bhi Wila Hai.
Tu Shah-e-Wafa Ishq-e-Manam Jan-e-Azadar.
Aala Hai Zabardast Hai Sardaron Ka Sardar.
Rutba Yeh Bhala Kis Ko Mila Dono Jahan Mein.
Woh Tu Hai Keh Shabeer Bhi Hain Jis Ki Amma Mein.
Shamil Hai Teri Marzi Bhi ALLAH Ki Haan Mein.
Dharas Hai Ali Walon Ko Tujh Se Aye Wafadar.
Bazu Bhi Nahi Phir Bhi Hai Tu Sab Ka Madadgar.
Tu Jafar-e-Tayyar Ki Jurat Ka Libada.
Tikta Hai Tere Samne Kab Koi Zyada.
Tu Taig Chalaney Ka Agar Kar Le Iradah.
Phir Maut Ke Chungal Se Nikalta Nahi Farrar.
Buraq Ke Jaisi Hai Tere Ghorey Ki Raftar.
Siffeen Mein Tu Aisay Lara Shair-e-Dilawar.
Ik Bar Kiya Waar Tu Dekha Nahi Mur Kar.
Dhar Chor Ke Maidan Mein Kat Kat Ke Girey Sar.
Sab Kehne Lagay Aa Gaye Kya Haider-e-Karrar.
Baba Ki Tarha Tu Bhi Chalata Raha Talwar.
Yeh Bazu Salamat Hain Tu Bas Tere Karam Se.
Dushman Tera Jalta Hai Tu Jalta Rahe Hum Se.
Hum Door Nahi Hoon Gay Kabhi Tere Alam Se.
Jo Bugz Rakhay Tujh Se Woh Lanat Ka Hai Haqdar.
Iblees Hai Jo Teri Wafa Ka Karey Inkar.
Woh Kabay Ki Chat Our Jalali Tera Khutba.
Kabay Ne Liya Pehle Tere Qadmo Ka Bosa.
Phir Kaba Hussain Ibn-e-Ali Se Yeh Pukara.
Hai Ghaiz Mein Abbas Ko Rokein Mere Sarkar.
Yeh Itna Jalali Hai Keh Gir Jaye Gi Dewar.
Bas Gham Hai Yehi Aaj Dil-e-Ahl-e-Azza Mein.
Afsoos Ijazat Na Mili Karb-o-Bala Mein.
Be Dast Howa Mara Gaya Dasht-e-Jafa Mein.
Yeh Kehte Hoye Jashan Manatay Hain Sitamgar.
Haan Mara Gaya Lashkar-e-Shabeer Ka Salar.
Woh Sham-e-Ghareebaan Woh Haram Our Udasi.
Pani Na Mila Bali Sakina Rahi Pyasi.
Be Pardah Hoi Haye Muhammad Ki Nawasi.
Tu Qatal Howa Khaimay Jalay Lut Gaya Ghar Bar.
Zainab Ki Sada Aati Rahi Khaimay Se Har Bar.
:ZEESHAN: Hai Tu :JAUN: Tere Dar Ka Hai Nokar.
Bas Dil Mein Yeh Arman Hai Aye Sani-e-Haider.
Seene Se Laga Hum Ko Bhi Rozay Pe Bola Kar.
Ho Jaye Karam Karb-o-Bala Dekh Lein Ik Bar.
Kehte Hain Azakhana Saja Kar Yeh Azadar.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Joan Rizvi:
Noha Volum: :Joan Rizvi 2022-23:
Composition: :Own Rizvi:
#SakhiAbbasAlamdar
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Sakhi Abbas Alamdar Joan Rizvi
Ghazi Abbas Alamdar Noha Sakhi Abbas Alamdar Joan Rizvi