Badar-o-Ohad Ki Ghatiyan Khandaq Ki Khaaiyan.
بدر و اُحد کی گھاٹیاں خندق کی کھائیاں
Kaam Aa Rahi Hain Taig-e-Ali Ki Kamaiyaan.
Kar-e-Khudai Qabza-e-Qudrat Mein Hai Magar.
Sajday Ki Thokaron Mein Hain Jhuti Khudaiyaan.
Musa(AS) Assa Ko Choom Ke Kehta Tha Bar Bar.
Seekhi Kahan Se Tu Ne Yeh Mojiz Numaiyaan.
Maidaan Se Ja-Namaz Talak Aik Sa Mizaj.
Woh Halat-e-Raku Woh Hajat Rawaiyaan.
Roke Ga Kon War Teri Zulfiqar Ke.
Thamay Ga Kon Dast-e-Khuda Ki Kalaiyaan.
Mehway-e-Safar Thi Nasalon Mein Taig-e-Ali Ki Kaat.
Rah Waar Kar Raha Tha Safoon Ki Safaiyaan.
Manzar Banaya Hath Utha Kar Rasool(SAWW) Ne.
Phir Sonp Deen Ali Ko Sabhi Rahnumaiyaan.
:AKBAR: Koi Bhi Takht Pe Qabiz Rahe Magar.
Islam Pe Ali(AS) Ki Hain Farmarawaiyaan.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2019-20:
Composition: :Syed Izhar Hussain Fatehpuri:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com