Jang e Khandaq P2 Khandaq Ka Waqiya Mir Hasan Lyrics 2022
Jang e Khandaq P2 Khandaq Ka Waqiya Mir Hasan Mir
10- Ashab Par Nabi Ki Sawali Nazar Uthi.
Iss Qalb Ki Zaban Karey Band Hai Koi.
Lekin Wahan Tu Pehle Se Bhar Kar Thi Khamshi.
Utha Na Teen Bar Mein Koi Bajuz Ali.
Teyar Kaisay Hotey Shahadat Ke Wastay.
Kalma Parha Tha Mal-e-Ghaneemat Ke Wastay.
11- Aakhir Khuda Ki Marzi Bata Di Rasool Ne.
ALLAH Ke Ali Ko Sada Di Rasool Ne.
Apna Amama Apni Abba Di Rasool Ne.
Pehlu Mein Zulfiqar Saja Di Rasool Ne.
Shair-e-Khuda Jehad Ko Teyar Ho Gaye.
Ik Waqt Mein Do Ahmad-e-Mukhtar Ho Gaye.
12- Ban Kar Riza Nabi Ki Ali Murtaza Chaley.
Tha Hukam Abu Turab Se Pichey Qaza Chaley.
Apna Shikar Karne Ko Shair-e-Khuda Chaley.
Kehte Hoye Zaban Se Ya Fatima Chaley.
Iss Naam Ke Tofail Jo Chahe Abu Turab.
Khandaq Kya Kainat Ulat De Abu Turab.
13- Main Ibn-e-Abad-e-Wod Hoon Pukara Woh Be Khabar.
Bolay Imam Hum Abu Talib Ke Hain Pisar.
Jari Rajaz Tha Dono Taraf Se Ba Karofar.
Oss Simt Kul-e-Kufar Tha Eman-e-Kul Idhar.
Oss Ne Kaha Keh Lato Hobul Ka Badan Hoon Main.
Maula Pukarey Dekh Le Phir But Shikan Hoon Main.
14- Shair-e-Khuda Ki Baat Pe Gurraya Be Adab.
Bolay Ali Zaban Chalata Hai Be Sabab.
Hasrat Nikal Taig Utha Waar Kar Bas Ab.
Nikli Jo Zulfiqar Tu Moqa Miley Ga Kab.
Main Do Karon Ga Tere Abhi Aik Waar Mein.
Dozakh Bharak Rahi Hai Tere Intezar Mein.
15- Khali Gaya Jo Waar Tu Ghisya Ke Reh Gaya.
Tha Azdaha Zameen Pe Bal Kha Ke Reh Gaya.
Bekar Waar Ho Gaye Jhonjla Ke Reh Gaya.
Chakar Ali Ke Kaat Ke Chakra Ke Reh Gaya.
Aakhir Nabi Ka Qaul Tha Sorat Badal Gayi.
Sad Ki Tarha Zaban Dahan Se Nikal Gayi.
16- Uthi Jo Zulfiqar Tu Sab Ki Nazar Phiri.
Jibreel Pichey Pichey Phiray Yeh Jidhar Phiri.
Ashab Dhondtay Hi Phiray Keh Kidhar Phiri.
They Iss Qadar Safai Se Sar Kaat Kar Phiri.
Zalim Jahan Khara Tha Wahan Se Hila Nahi.
Sar Kab Ka Kat Chuka Hai Badan Ko Pata Nahi.
17- Jab Kar Chukay Tamam Yeh Qissa Sheh-e-Najaf.
Lashkar Mein Gonja Narah-e-Takbeer Saf Ba Saf.
Bolay Nabi Ali Ko Yeh Hasil Howa Sharf.
Sab Ummat-e-Rasool Ke Amal Ik Taraf.
Ta Hashar Farq-e-Kufar Pe Kari Yeh Zarb Hai.
Saqlain Ki Namazon Pe Bhari Yeh Zarb Hai.
18- Sar Amar Ka Rasool Ke Qadmo Mein Jab Rakha.
Manzar Nazar Mein :MIR TAKALLUM: Ki Phir Gaya.
Darwaza-e-Batool Pe Gustakh Jo Howa.
Mujh Ko Yaqeen Hai Paye Ga Woh Bhi Yehi Saza.
Oss Ko Maza Imam-e-Zamana Chakhaein Gay.
Sar Kaat Kar Batool Ke Qadmo Mein Laein Gay.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2021-22:
Composition: :Raza Shah:
#JangeKhandaq
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Jang e Khandaq P2 Khandaq Ka Waqiya Mir Hasan Lyrics
Ghazwa e Khandaq Jang e Khandaq P2 Khandaq Ka Waqiya Mir Hasan
New Manqabat Jang e Khandaq P2 Khandaq Ka Waqiya Mir Hasan Mir