Bas Woh Hussain Hai.
بس وہ حسینؑ ہے
Islam Ki Ragon Mein Hai Jis Ka Lahoo Rawan.
Elan Jis Ki Jeet Ka Karti Hai Yeh Azaan.
Aisa Kkhuda Parast Nahi Kaayenaat Mein.
Toheed Ki Jo Baat Kere Baat Baat Mein.
Noke Sinaan Bana Day Jo Guldasta-E-Azaan.
Khaimay Mein Baantta Hai Jo Nuskhay Nijaat Ke.
Heeron Ko Jis Ne Parkhaa Andheray Mein Raat Ke.
Jis Ke Bujhe Chairag Se Roshan Hai Do Jahan.
Aisa Nahi Hai Koi Zamane Mein Den Panah.
Qaim Usi Ki Laa Se Hai Duniya Mein Lailah.
Remaniyat Milati Hai Khud Jis Ki Haan Mein Haan.
Ho Kar Jawan Boorhay Bhi Jannat Mein Jayengay.
Yeh Dekhna Jisay Ho Zara Karbala Chalay.
So Saal Ke Zaeef Ko Kar Day Jo Nuwjawan.
Hal Min Pukarnay Lagey Jab Shah-e-Mashreqain.
Aawaz Di Saghir Ne Labaik Ya Hussain.
Jis Ki Zuban Samjhta Hai Jhulay Mein Be-Zubaan.
Jis Ne Jabeen-e-Waqt Pay Daali Hain Silwatein.
Toofan Jis Ki Pyaas Pay Laita Hai Karvatein.
Jis Ke Diye Se Chalti Hain Katra Ke Aandhiyan.
Jo Bakhash Day Khataien Woh Ghafar Hai Yahi
Jo Aib Ko Chhupa Day Woh Sitaar Hai Yahi.
Hur Se Gunahgaar Ko Deta Hai Jo Ammaan.
Ehley Zamana Door Na Jao Yahin Raho.
:MUKHTAR: Aur :MIR TAKALLUM: Ko Dekh Lo.
Gurbat Mein Baantta Hai Jo Duniya Ko Shahiyan.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2019-20:
Composition: :Shahid Hussain Baltistani:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com