Hur Ka Muqaddar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Hur Ka Muqaddar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

حُرؑکا مقدر

Aik Qatray Ko Gathari Bhar Mein Samandar Dekh Kar.
Rashk Nabiyon Ko Bhi Hai Hur Ka Muqaddar Dekh Kar.
Kyun Na Milta Hur Ko Daman-e-Hussain Ibn-e-Ali.
Paon Phelaye Thay Oss Ne Bhi Tu Chadar Dekh Kar.
Raat Bhar Soya Nahi Be-Chain Tha Bedar Tha.
So Gaya Khak-e-Shifa Ka Naram Bistar Dekh Kar.
Mil Gaya Romal-e-Zahra Zano-e-Shabir Bhi.
Bheek Sheh Ne Hur Ko Di Zarf-e-Gadagar Dekh Kar.
Subh-e-Ashora Jab Aaya Hur Jhukaye Apna Sar.
Sab Khataein Bakhsh Dein Sheh Ne Jhuka Sar Dekh Kar.
Napne Wale Qad-e-:REHAN: Bazm-e-Shair Mein.
Ho Gaye Hain Dam Bakhud Balay-e-Mimbar Dekh Kar.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Raza Abbas Zaidi 2019-20:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!