Kahin Dushman Ke Piaday Kahin Aswar Giray Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Kahin Dushman Ke Piaday Kahin Aswar Giray Lyrics In Urdu and Roman Urdu

کہیں دُشمن کے پیادے کہیں اَسوار گرے

Jis Taraf Dekh Liya Shair Ne Do Chaar Giray.
Dushman-e-Aal-e-Muhammad Se Na Rakho Umeed.
Oss Ke Saye Mein Na Betho Keh Jo Dewar Giray.
Larkharati Hoi Dunya Mein Sanbhalne Ke Liye.
Hum Dar-e-Haider-e-Karrar Pe So Baar Giray.
Karbala Rukh Se Zara Dair Hata Le Jo Naqab.
Yeh Abhi Misar Ka Charhta Howa Bazar Giray.
Iss Tarha Moat Pe Ja Parte Thay Ansar-e-Hussain.
Jaisay Bazar-e-Muhabbat Pe Kharidar Giray.
Isko Abbas Ke Honton Ne Bulandi Di Hai.
Ab Yeh Mumkin Hi Nahi Pyas Ka Maiyyar Giray.
Sar Dar-e-Sibt-e-Payamber Pe Jhuka Le Waiz.
Iss Se Pehle Ke Tere Sar Se Yeh Dastar Giray.
Oss Ne Khutbaat Ke Lashkar Ko Diya Youn Tarteeb.
Pehle Sarkar Giray Baad Mein Darbar Giray.
Zindagani Tu Bina Khak-e-Shifa Youn Hai :BILAL:.
Har Qadam Raah Mein Jaise Koi Beemar Giray.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2019-20:
Composition: :Izhar Hussain fatehpuri:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!