Aye Sheh Ke Azadaro Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1993
Aye Sheh Ke Azadaro Nadeem Sarwar.
Tareekh Ke Kirdaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Darya Ho Samandar Ho Tum Seep Ho Gohar Ho.
Tum Mard-e-Qalandar Ho Sehra Mein Gul-e-Tar Ho.
Tum Azm-e-Abuzar Ho Tum Fikar Ke Qanbar Ho.
Tum Hur Ka Qabeela Ho Tum Jaun Ka Lashkar Ho.
Aye Gham Ke Alamdaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Rasta Nahi Manzil Ho Dharkan Nahi Tum Dil Ho.
Mazloom Ke Tum Hami Har Zulm Ke Qatil Ho.
Insan Ki Azmat Ke Har Baab Mein Shamil Ho.
Zulmat Ke Samandar Mein Tum Noor Sa Sahil Ho.
Matam Ke Talabgaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Nisbat Hai Payamber Se Nisbat Tumhein Haider Se.
Iss Nisbat-e-Maula Se Tum Door Rahe Shar Se.
Tum Aankh Milatay Ho Har Waqt Sitamgar Se.
Jo Dars Mila Tum Ko Salman Se Buzar Se.
Tum Roop Wohi Dharo Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Abbas Ke Parcham Se Seekhi Hai Wafadari.
Aankhon Mein Tumhare Hai Eman Ki Bedari.
Qismat Se Mili Tum Ko Mazloom Ki Ghamkhuwari.
Zalim Ke Liye Ab Bhi Tum Taig Ho Do Dhari.
Mazloom Ke Ghamkhuwaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Zainab Ki Rida Tum Se Karti Hai Sawal Aisa.
Kis Gham Mein Bahatay Ho Aankhon Se Lahu Apna.
Kya Ghar Mein Tumhare Bhi Paigham Mera Pohancha.
Jis Deen Ke Lashay Pe Kam Aaya Mera Pardah.
Laaj Osski Rakho Dekho Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Kya Dars Liya Tum Ne Akbar Ki Jawani Se.
Kya Seekha Batao Tu Karbal Ki Kahani Se.
Mat Behlo Khateebon Ke Alfaz-o-Mani Se.
Mehfooz Haqeeqat Ko Rakhna Hai Kahani Se.
Aye Ilm Ke Mayaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Masjid Ke Musalmano Maidaan Ke Bano Ghazi.
Tum Hur Ki Tarha Mango Ik Raat Mein Aazadi.
Darbaron Mein Zalim Ke Kyun Bantay Ho Faryadi.
Sajjad Ne Jis Tarha Dewar-e-Sitam Dha Di.
Dewar-e-Sitam Dha Do Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Tum Nehj-e-Balaga Ki Tafseer Mein Dhal Jao.
Haider Ki Ghulami Ka Andaz Tu Apnao.
Mazloom Ko Mat Chero Zalim Se Na Ghabrao.
Haq Baat Jo Kehna Hai Soli Pe Bhi Dohrao.
ALLAH Ke Naqaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Shabeer Ke Matam Mein Emaan Ki Hararat Hai.
Yeh Ain-e-Ibadat Hai Yeh Ain-e-Shariyat Hai.
Shabeer Ke Paikar Mein Islam Ki Nusrat Hai.
Khanjar Ke Talay Dekho Qayam Jo Ibadat Hai.
Maula Ke Tarafdaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Socho Tu Zara Manzar Tum Sham-e-Ghareebaan Ka.
Ghar Jalta Tha Jab Ban Mein Oss Waris-e-Quraan Ka.
Pamal Tha Jab Lasha Ik Be Sar-o-Samaan Ka.
Kirdar Magar Kya Tha Oss Waris-e-Quraan Ka.
Samjho Tu Samjhdaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Pyasa Tha Lab-e-Darya Woh Lakht-e-Dil-e-Zahra.
Aankhon Se Barasta Tha Ghurbat Mein Lahu Jis Ka.
Woh Waqt Bhi Tha Kaisa Che Mah Ka Ik Bacha.
Hathoon Pe Tarapta Tha Pani Ka Na Tha Qatra.
Oss Waqt Ke Jaan Baro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Hal Min Ki Sada Ab Bhi Hum Se Hai Yehi Kehti.
Shabeer Ki Nusrat Ki Dil Mein Jo Tamana Thi.
Kya Ab Bhi Hai Woh Baqi Jo Chah Thi Maula Ki.
Aawaz Wohi Dil Ki Har Sans Mein Hai Ab Bhi.
Dehkay Hoye Angaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Tum Rah-e-Sadaqat Se Emaan Ki Hararat Se.
Kirdar-e-Imamat Se Afkar-e-Risalat Se.
Tum Shoq-e-Shahadat Se Maula Ki Inayat Se.
Islam Ki Khidmat Se Maiyar-e-Muhabbat Se.
Tareekh Nayi Likh Do Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Emaan Hai Azadari Hai Deen Ki Bedari.
Jarrari-o-Karrari Hai Azm-e-Wafadari.
Himmat Na Agar Hari Zindah Rahi Khuddari.
Mil Jaye Gi Sardari Haider Ki Tarafdari.
Kar Ke Tu Zara Dekho Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
:REHAN: Pe :SARWAR: Pe Maula Ki Inayat Hai.
Nohay Ki Azano Mein Matam Ki Aqamat Hai.
Sach Pocho Tu Dono Ki Har Sans Ibadat Hai.
Aye Ahl-e-Azza Tum Ko Matam Ki Jo Dawat Hai.
Munh Moor Ke Mat Jao Kis Baat Mein Tum Kam Ho.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1992-93:
#AyeShehKeAzadaro
#NohayLyrics
#tajpoint
Old Noha Aye Sheh Ke Azadaro Nadeem Sarwar