Hussain Zindabad Manqabat Lyrics in Urdu 2009
Hussain Zindabad Manqabat Lyrics
Bahisht Jis Ki Saltanat Hussain Woh Janab Hai.
Bara-e-Karbala Hussain Rab Ka Intekhab Hain.
Hussan La-Jawab Th Hussain La-Jawab Hain.
Hussain Kamyab Tha Hussain Kamyab Hai.
Hussain Zindabad Hussain Zindabad.
Yeh Kal BHi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai.
Taran-e-Hussain Hai Haan Sath Do Hussainiyo.
Hussain Se Murad Lo Murad Lo Hussainiyo.
Hussain Jis Ko De De Oss Ki Nasal Ba-Murad Hai.
Quran Mein Hadees Mein Yazeed Ka Biyaan Nahi.
Yazeed Ki Tu Qabar Ka Kahin Bhi Koi Nishaan Nahi.
Haan Ja-Baja Hai Dahar Mein Hussain Ki Olad Hai.
Jahan Mein Sab Se Zyda Ashk Jis Ke Naam Par Baha.
Zamane La Gham-e-Hussain Ka Koi Jawab La.
Wohi Tu Kamyab Hai Yeh Narah Jis Ko Yaad Hai.
Nabi Ka Mulk Pak Hai :NADEEM: Our :REHAN: Hain.
Hamari Sarhadoon Pe Sab Hussain Ke Jawab Hain.
Karam Hai Mustafa Ka Apna Mulk Shad Baad Hai.
Hussain Jis Ko Aap Ka Dar-o-Deyar Mil Gaya.
Ossay Khud Apni Zindagi Ka Aytbar Mil Gaya.
Nafas Nafas Ossay Khuda Hazar Bar Mil Gaya.
Salam Ya Hussain Ka Jisay Jawab Mil Gaya.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Manqabat Volume: :Nadeem Sarwar 2009: