Zindabad Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2014
Zindabad Ya Hussain Nadeem Sarwar.
Gonjti Fizaein Hain Matami Sadaein Hain.
Jis Taraf Nazar Dalein Qafilay Hazaron Hain.
Qafilon Ke Seeno Mein Dard Ke Safeno Mein.
Ashk Khon Ke Dharey Door Tak Alam Sare.
Yeh Crore Ha Insaan Dekh Tu Ali Ki Jaan.
Tere Gham Mein Hain Giriyaan.
Inn Ki Karbala Manzil Hai Hatheliyon Par Dil.
Jhail Kar Har Ik Mushkil Ik Sada Labon Par Hai.
Tera Gham Rahe Aabad Aye Hussain Zindah Baad.
Aye Hussain Zindah Bad, Aye Hussain Zindah Bad,Aye Hussain Zindah Baad.
Molana Ya Hussain, Molana Ya Hussain, Molana Ya Hussain.
Zindah Baad Ya Hussain, Zindah Baad Ya Hussain, Zindah Baad Arz-e-Karbala.
Deen-e-Haq Ka Pasbaan Rasool-e-Haq Ka Tarjumaan.
Hussainiyat Ka Saibaan Muhabbaton Ka Aashiyaan.
Tu Nabi Ka Zaib-o-Zeen Hai Tu Ali Ka Noor-e-Ain Hai.
Fatima Ke Dil Ka Chain Hai LaIlaha Ya Hussain Dein Panah Ya Hussain.
Salam Shah-e-Karbala Tu Iradah-e-Khuda.
Bara Buland Hosla Nahi Hussain Dosra.
Kabhi Kahin Na Tera Sar Jhuka Buland Tha Buland Yeh Sar Raha.
Hussain Izaton Ka Badshah Marhaba Ya Hussain Cha Gaya Ya Hussain.
Pukarey Ahl-e-Qafila Hussain Ne Jo Yeh Kaha.
Safar Hai Ab Yeh Maut Ka Har Ik Rafeeq Bool Utha.
Nahi Hai Koi Maut Ka Khatar Hussain Jab Hamara Humsafar.
Ajal Milaye Hum Se Kya Nazar Rehnuma Ya Hussain Paishwa Ya Hussain.
Zulmaton Se Jang Ki Bidatton Se Jang Ki.
Nakhwaton Se Jang Ki Munafiqon Se Jang Ki.
Tu Nizam-e-Inqalab Hai Tu Pyam Inqalab Hai.
Tu Imam-e-Inqalab Hai Inqalab Ya Hussain Kamyab Ya Hussain.
Watan Se Apne Door Tha Tu Mard-e-Be Qasoor Tha.
Ghamo Se Choor Choor Tha Magar Woh Kya Shaoor Tha.
Sitam Utha Ke Hosh Mein Raha Naheef Ho Ke Josh Mein Raha.
Lahu Se Surkh Posh Mein Raha Josh Kya Ya Hussain Hosh Kya Ya Hussain.
Woh Sara Ghar Luta Gaya Woh Khon Mein Naha Gaya.
Sina Pe Sar Bhi Aa Gaya Magar Woh Dein Bacha Gaya.
Gawahi De Rahi Hai Karbala Hussain Kamyab Ho Gaya.
Yazid Ka Nishaan Bhi Na Raha Sorma Ya Hussain Har Jagah Ya Hussain.
Larz Rahi Thi Karbala Tarap Rahe They Anbiya.
Jo Sajdah Aakhri Kiya Nibah Ke Wadah-e-Wafa.
Na Zeen Na Zameen Par Raha Gawah Hai Dua-e-Nahiya.
Tarap Rahe Hain Hujat-e-Khuda Aslam Ya Hussain Ya Imam Ya Hussain.
:REHAN-o-SARWAR-E-Azza Hussain Ka Hai Mojza.
Jo Inn Ke Dar Pe Aa Gaya Misal-e-Hur Sanwar Gaya.
Pukarti Hai Sab Ko Karbala Hussain Ka Hai Dar Khula Howa.
Faqeer Ko Karey Jo Badshah Rab Tera Ya Hussain Sab Tera Ya Hussain.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2014-15:
Composition: :Nadeem Sarwar:
#ZindabadYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Zindabad Ya Hussain Nadeem Sarwar