Hussain Zindabad Noha Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1999
Hussain Zindabad Noha Nadeem Sarwar.
Suno Hussainiyo Suno Hussainiyo.
Hussain Woh Jo Zair-e-Taig Hans Ke So Gaya.
Yazid Woh Jo Zillaton Ka Naam Ho Gaya.
Hussain Woh Jo Marzi-e-Khuda Khareed Le.
Yazid Woh Hai Jis Ka Koi Naam Bhi Na Le.
Yazid Zindah Reh Ke Murdah Baad Ho Gaya.
Hussain Sar Kata Ke Zindah Baad Ho Gaya.
Hussain Zindah Bad, Hussain Zindah Baad.
Yeh Kal Bhi Zindah Baad Tha Yeh Ab Bhi Zindah Baad Hai.
Quran Mein Hadees Mein Yazid Ka Biyaan Nahi.
Yazid Ki Tu Qabar Ka Kahin Bhi Koi Nishaan Nahi.
Haan Ja Baja Hai Dehar Mein Hussain Ki Aoulad Hai.
Boraiyon Ko Dehar Mein Yazid Aam Kar Gaya.
Hussain Se Lara Tu Apni Maut Aap Mar Gaya.
Yeh Kal Bhi Murda Baad Tha Yeh Ab Bhi Murda Baad Hai.
Har Ik Shareef Zehan Se Yazid Itna Gir Gaya.
Kissi Ne Apne Lal Ka Yazid Naam Na Rakha.
Yeh Kal Bhi Na Murad Tha Yeh Ab Bhi Na Murad Hai.
Yazid Walay Takht Par Naseeb Ke Kharab Hain.
Hussain Walay Qaid Mein Bhi Reh Ke Kamyab Hain.
Hussainiyat Ki Thokarein Yazid-o-Ibn-e-Zayad Hai.
Jahan Mein Sab Se Zyada Ashk Jis Ke Naam Par Baha.
Zamane La Gham-e-Hussain Ka Koi Jawab La.
Guinness Book Ko Bas Mere Hussain Se Anad Hai.
Yazid Aik Lakh Hoon Moqablay Pe Gham Nahi.
Hussain Wala Aik Ho Tu Laskaron Se Kam Nahi.
Hussain Ko Bhi Apne Matami Pe Etimad Hai.
Ali Ki Beti Zainab-e-Hazeen Hussain Ban Gayi.
Shareekatu Al Hussain Thi Yazidiyat Pe Cha Gayi.
Hussain Se Parha Howa Sabaq Jo Issko Yaad Hai.
Tarana-e-Hussain Hai Haan Sath Do Hussainiyo.
Hussain Se Murad Lo Murad Lo Hussainiyo.
Hussain Jis Ko De De Osski Nasal Ba Murad Hai.
Nabi Ka Mulk Pak Hai :NADEEM: Our :REHAN: Hain.
Hamari Sarhadon Pe Sab Hussain Ke Jawan Hain.
Karam Hai Mustafa Ka Apna Mulk Shad Baad Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1998-99:
#HussainZindabad
#NohayLyrics
#tajpoint