Kis Bulandi Par Khudaya Martaba Zahra Ka Hai.
کس بلندی پر خدایا مرتبہ زہراؑ کا ہے
Parda-e-Meraj Mein Bhi Tazkira Zahra Ka Hai.
Be-Niyazaon Mein Kahin Aapas Mein Hota Hai Hisab.
Jo Khuda Ka Hai Samajh Lein Fatima Zahra Ka Hai.
Shabar-o-Shabir Jaise Aliman-e-Ghaiab Bhi.
Dars Letay Hain Jahan Woh Madrisa Zahra Ka Hai.
Tohfa-e-Shadi Diya Dono Ko Yeh ALLAH Ne.
Arsh Haider Ka Hai Shehar-e-Karbala Zahra Ka Hai.
Iss Makaan Par Sorah-e-Kausar Ki Takhti Hai Lagi.
Ay Khuda-e-Lam Yazal Kaba Bhi Kya Zahra Ka Hai.
Arsh Ka Malik :TAKALLUM: Aa Raha Hai Bar Bar.
Ossko Bhi Maloom Hai Farsh-e-Azza Zahra Ka Hai.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2019-20:
Composition: :Syed Izhar Hussain Fatehpuri:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com