Darya Pe Shoor Hai Ke Alamdar Na Raha Lyrics In Urdu and Roman Urdu
دریا پے شور ہے کے علمدارؑ نہ رہا
Abbas Jaisa Haye Wafadar Na Raha.
Bolay Hussain Haye Yehi Tham Kar Kamar.
Mujh Par Hai Aaj Aayi Qayamat Ki Yeh Sahar.
Mera Khudaya Aaj Tarafdar Na Raha.
Zainab Ke Sar Se Chadar-e-Athar Utar Gayi.
Abbas Ki Woh Lash par Aa Kar Thehar Gayi.
Ik Be-Rida Behan Ka Azadar Na Raha.
Marqad Mein Fatima Ko Milta Pal Bhar Nahi Chain.
Karb-o-Bala Ro Ro Ke Yeh Karti Rahi Bain.
Zahra Ki Betiyon Ka Madadgar Na Raha.
Koza Gira Sakina Ke Hathon Se Al-Amaan.
Karb-o-Bala Mein Kaisa Yeh Mehshar Ka Hai Samaa.
Shehzadi Sakina Tera Ghamkhwar Na Raha.
Jab Khon Mein Tar Parcham-e-Abbas Tha Dekha.
Ahl-e-Haram Ke Darmiyaan Kuhram Mach Gaya.
Noha Tha har Zabaan Pe Alamdar Na Raha.
Rakhe Gi Yaad Dunya Wafaon Ke Khuda Ko.
Jis Ne Shaheed Ho Ke Rulaya Hai Qaza Ko.
Haider Ke Jaisa Sahib-e-Kirdar Na Raha.
Zoor-e-Kamar Hussain Ka Zainab Ka Aasra.
:AFRAZ: Aaya Jiski Qayadat Mein Qafila.
Jo Tha Hussaini Fauj Ka Salaar Na Raha.
Poet: :Afraz Jafri:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com