Abid Ko Jahan Gash Aata Hai Durron Se Jagaya Jata Hai Lyrics In Urdu and Roman
Urdu
عابدؑ کو جہاں غش آتا ہے دُرّوں سے جگایا جاتا ہے
Ik Phool Hai Jis Ko Kanton Par Din Raat Chalaya Jata Hai.
Abbas Ki Ghairat Se Aksar Abid Ki Aseeri Pochti Hai.
Kya Char Baras Ki Behna Ko Zindaan Mein Sulaya Jata Hai.
Sadaat Ke khaimay Jaltay Hain Sholon Mein Ghiri Hai Aal-e-Nabi.
Phir Aaj Nabi Ki Beti Par Darwaza Giraya Jata Hai.
Reh Reh Ke Sheh-e-Deen Dekhtey Hain Naizay Se Sakina Ki Janib.
Lagta Hai Keh Pusht-e-Naqa Se Bachi Ko Giraya Jata Hai.
Bibi Ko Qareeb-e-Lash-e-Jarri Durron Ki Aziyyat Detey Hain.
Abbas Ko Tarpane Ke Liye Zainab Ko Sataya Jata Hai.
Ghairat Ke Sabab Jis Bibi Ne Ghar Mein Bhi Na Dekha Aaina.
Be-Parda Ossay Lanay Ke Liye Darbar Sajaya Jata Hai.
Bin Biyah Ke Akbar Marey Gaye Arman Na Niklay Bano Ke.
Taboot Pe Akbar Ke Sehra Kuch Youn Bhi Charhaya Jata Hai.
Woh Nook-e-Sina Par Ghairat Se Rukta Hi Nahi Gir Jata Hai.
Aray Jab Jab Bhi Sar-e-Abbas-e-Jarri Naizay Pe Charhaya Jata Hai.
Parday Mein :BILAL:-e-Karb-o-Bala Roye Na Mera Maula Kyun Kar.
Afsos Ke Turbat Mein Ab Tak Zahra Ko Rulaya Jata Hai.
Poet: :Bilal Kazmi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
Composition: :Raza Shah:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com