Sar Nangay Jisay Khalq e Khuda Dekh Rahi Hai Lyrics 2019
Sar Nangay Jisay Khalq-e-Khuda Dekh Rahi Hai.
Hasrat Se Woh Naizay Pe Rida Dekh Rahi Hai.
Bazar Ke Jalte Howay Har Aik Diye Mein.
Ahsas-e-Rida Jalta Howa Dekh Rahi Hai.
Zainab Ko Nazar Aata Nahi Telay Se Bhai.
Ik Jism Ko Teeron Se Bhara Dekh Rahi Hai.
Mar Jaye Iss Gham Se Ilahi Kahin Zainab.
Akbar Ki Shahadat Ki Jagah Dekh Rahi Hai.
Abbas Ke Lashay Pe Khari Sani-e-Zahra.
Bazar Tasawar Mein Saja Dekh Rahi Hai.
Hai Zulm Ke Bazar Bhi Abhi Dekhe Gi Zainab.
Ghurbat Hai Ke Ghazi Ke Bina Dekh Rahi Hai.
Iss Dar Se Keh Yeh Khak Ki Chadar Na Urra De.
Woh Apni Taraf Barhti Hawa Dekh Rahi Hai.
:SAQLAIN: Khaari Sham Ki Rahoon Mein Aik Maa.
Naqay Se Kahan Kon Gira Dekh Rahi Hai.
Poet: :Saqlain Akbar:
Composition: :Asghar Khan:
Markazi Matami Dasta Chan Pear Party Behlol Dana Parveiz Asghar Group Sialkot
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#SarNangayJisay
#NohayLyrics
#tajpoint